Difficult Words
एहतियात = चौकसी, सावधानी, बचाव।
उरूज = ऊपर उठाना, उत्थान, वृद्धि।
Udaasiyon Mein Bhi Raste Nikaal Leta Hai
Udaasiyon mein bhi raste nikaal leta hai
Ajeeb dil hai giroon to sambhaal leta hai
Ye kaisa shakhs hai kitni hi achhi baat kaho
Koi buraai ka pahlu nikaal leta hai
Dhale to hoti hai kuch aur ehatiyaat ki umar
Ki bahte bahte ye dariya uchhaal leta hai
Bade-badon ki tarah-daariyaan nahin chalti
Urooz teri khabar jab jawaal leta hai
Jab us ke jaam mein ek boond tak nahin hoti
Wo meri pyaas ko phir bhi sambhaal leta hai.
(In Hindi)
उदासियों में भी रस्ते निकाल लेता है
अजीब दिल है गिरूँ तो सँभाल लेता है
ये कैसा शख़्स है कितनी ही अच्छी बात कहो
कोई बुराई का पहलू निकाल लेता है
ढले तो होती है कुछ और एहतियात की उम्र
कि बहते बहते ये दरिया उछाल लेता है
बड़े-बड़ों की तरह-दारियाँ नहीं चलतीं
उरूज तेरी ख़बर जब ज़वाल लेता है
जब उस के जाम में इक बूँद तक नहीं होती
वो मेरी प्यास को फिर भी सँभाल लेता है ।
– Waseem Barelvi