Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai – Waseem Barelvi | Ghazal And Shayari

This beautiful ghazal 'Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai' has written by Waseem Barelvi.

  Difficult Word  
तिश्ना-लबी = पके हुए होंठ, प्यास।

Zara Sa Qatra Kahin Aaj Agar Ubharta Hai

Zara sa qatra kahin aaj agar ubharta hai
Samundaron hi ke lahaje mein baat karta hai
Khuli chhaton ke diye kab ke bujh gaye hote
Koi toh hai jo hawaaon ke par katarta hai
Sharaafaton ki yahaan koi ahamiyat hi nahi
Kisi ka kuch na bigaado to kaun darta hai
Ye dekhana hai ki sahara bhi hai samundar bhee
Wo meri trishna-labi kis ke naam karta hai
Tum aa gaye ho toh kuch chandani si baatein ho
Zameen pe chaand kahaan roz roz utarta hai
Zameen ki kaisi vakaalat ho phir nahin chalati
Jab aasaman se koi faisala utarta hai
(In Hindi)
ज़रा सा क़तरा कहीं आज अगर उभरता है
समुंदरों ही के लहजे में बात करता है
खुली छतों के दिए कब के बुझ गए होते
कोई तो है जो हवाओं के पर कतरता है
शराफ़तों की यहाँ कोई अहमियत ही नहीं
किसी का कुछ न बिगाड़ो तो कौन डरता है
ये देखना है कि सहरा भी है समुंदर भी
वो मेरी तिश्ना-लबी किस के नाम करता है
तुम आ गए हो तो कुछ चाँदनी सी बातें हों
ज़मीं पे चाँद कहाँ रोज़ रोज़ उतरता है
ज़मीं की कैसी वकालत हो फिर नहीं चलती
जब आसमाँ से कोई फ़ैसला उतरता है
                                      – Waseem Barelvi