Ab Tere Mere Beech Koi Faasla Bhi Ho – Bashir Badr | Ghazal And Shayari

This beautiful ghazal 'Ab Tere Mere Beech Koi Faasla Bhi Ho' has written by Bashir Badr.

 Difficult Words 

इतरी = इत्र नामक सुगंधित द्रव्य।
सियाह = काला, बुक, दूषित।

Ab Tere Mere Beech Koi Faasla Bhi Ho

Ab tere mere beech koi faasla bhi ho
Hum log jab mile to koi dusra bhi ho
Tu jaanta nahin meri chaahat ajeeb hai
Mujhko mana raha hain kabhi khud khafa bhi ho
Tu bewafa nahin hai magar bewafaai kar
Uski nazar mein rehane ka kuch silsila bhi ho
Patjhad ke toot te hue patton ke saath-saath
Mausam kabhi to badlega ye aasra bhi ho
Chupchaap usko baith ke dekhoon tamaam raat
Jaga hua bhi ho koi soya hua bhi ho
Uske liye maine yahan tak duaayein ki
Meri tarah se koi use chaahta bhi ho
Itari siyaah raat mein kisko sadaayein doon
Aisa chiraag de jo kabhi bolta bhi ho
                                    – Bashir Badr
अब तेरे मेरे बीच कोई फ़ासला भी हो
(In Hindi)
अब तेरे मेरे बीच कोई फ़ासला भी हो
हम लोग जब मिले तो कोई दूसरा भी हो
तू जानता नहीं मेरी चाहत अजीब है
मुझको मना रहा हैं कभी ख़ुद खफ़ा भी हो
तू बेवफ़ा नहीं है मगर बेवफ़ाई कर
उसकी नज़र में रहने का कुछ सिलसिला भी हो
पतझड़ के टूटते हुए पत्तों के साथ-साथ
मौसम कभी तो बदलेगा ये आसरा भी हो
चुपचाप उसको बैठ के देखूँ तमाम रात
जागा हुआ भी हो कोई सोया हुआ भी हो
उसके लिए तो मैंने यहाँ तक दुआएँ कीं
मेरी तरह से कोई उसे चाहता भी हो
इतरी सियाह रात में किसको सदाएँ दूँ
ऐसा चिराग़ दे जो कभी बोलता भी हो
                                         – बशीर बद्र