Difficult Words
अलामत = निशानी।
दराज़-कामत = बहुत ज्यादा लम्बा।
Har Janam Mein Usi Ki Chaahat The
Har Janam mein usi ki chaahat the
Hum kisi aur ki amaanat the
Uski aankhon mein jhilmilaati hui
Hum ghazal ki koi alaamat the
Teri chaadar mein tan samet liya
Hum kahan ke daraaz-qaamat the
Jaise jangal mein aag lag jaaye
Hum kabhi itne khoobsurat the
Paas rahkar bhi door door rahe
Hum naye daur ki mohabbat the
Is khushi mein mujhe khyaal aaya
Gham ke din kitne khoobsurat the
Din mein in juganuon se kya lena
Ye diye raat ki jaroorat the.
– Bashir Badr
हर जनम में उसी की चाहत थे
(In Hindi)
हर जनम में उसी की चाहत थे
हम किसी और की अमानत थे
उसकी आँखों में झिलमिलाती हुई
हम ग़ज़ल की कोई अलामत थे
तेरी चादर में तन समेट लिया
हम कहाँ के दराज़-क़ामत थे
जैसे जंगल में आग लग जाये
हम कभी इतने ख़ूबसुरत थे
पास रहकर भी दूर-दूर रहे
हम नये दौर की मोहब्बत थे
इस ख़ुशी में मुझे ख़याल आया,
ग़म के दिन कितने ख़ूबसुरत थे
दिन में इन जुगनुओं से क्या लेना,
ये दिये रात की ज़रूरत थे।
– बशीर बद्र