Kabhi Yoon Bhi Aa Meri Aankh Mein – Bashir badr | Ghazal

This beautiful ghazal 'Kabhi Yoon Bhi Aa Meri Aankh Mein' has written by Bashir Badr.

 Difficult Words 

नवाज़
= Gratitude(कृतार्थ)

रहीम-ओ-करीम
= Kind (दयालु)

सिफत
=Talent( हुनर)

महव-ए-ख़्वाब
= Lost in dream (सपनो में खोई हुई)

ख़राबे
= Tavern, Bar, Casino(मधुशाला)

फ़िराक
= To leave (बिछुड़ना)

विसाल
= Meeting, connection(मिलन)

हबीब
= Lover, beloved( महबूब)

Kabhi Yoon Bhi Aa Meri Aankh Mein

Kabhi yoon bhi aa meri aankh mein ke meri nazar ko khabar na ho
Mujhe ek raat nawaaz de magar uske baad sahar na ho
Wo bada raheem-o-kareem hai mujhe ye sifat bhi ata kare
Tujhe bhoolne ki dua karun to dua mein meri asar na ho
Mere baajuon mein thaki thaki, abhi mahav-a-khwaab hai chaandani
Na uthe sitaaron ki paalki, abhi aahaton ka gujar na ho
Ye ghazal ki jaise hiran ki aankhon mein pichhali raat ki chaandani
Na bujhe kharaabe ki roshani, kabhi bechraag ye ghar na ho
Wi firaak ho ya visaal ho, teri yaad mahakegi ek din
Wo gulaab ban ke khilegaa kya, jo chiraag ban ke jala na ho
Kabhi dhoop de, kabhi badaliyaa, dil-o-jaan se dono kubool hai
Magar us nagar mein na qaid kar jahan zindgii ki hawa na ho
Kabhi din ki dhoop mein jhoom ke kabhi shab ke phool ko choom ke
Yoon hi saath saath chale sada kabhi khtm apna safar na ho
Mere paas mere habeeb aa jara aur dil ke kareeb aa
Tujhe dhadkano mein basa loon main ke bichhadne ka kabhi dar na ho
                                   – Bashir Badr
कभी यूँ भी आ मेरी आँख में
(In Hindi)
कभी यूँ भी आ मेरी आँख में के मेरी नज़र को ख़बर न हो
मुझे एक रात नवाज़ दे मगर उसके बाद सहर न हो
वो बड़ा रहीम-ओ-करीम है मुझे ये सिफ़त भी अता करे
तुझे भूलने की दुआ करूँ तो दुआ में मेरी असर न हो
मेरे बाज़ुओं में थकी-थकी, अभी महव-ए-ख़्वाब है चांदनी
न उठे सितारों की पालकी, अभी आहटों का गुज़र न हो
ये ग़ज़ल कि जैसे हिरन की आँखों में पिछली रात की चांदनी
न बुझे ख़राबे की रोशनी, कभी बेचराग़ ये घर न हो
वो फ़िराक़ हो या विसाल हो, तेरी याद महकेगी एक दिन
वो गुलाब बन के खिलेगा क्या, जो चिराग़ बन के जला न हो
कभी धूप दे, कभी बदलियाँ, दिल-ओ-जाँ से दोनों क़ुबूल हैं
मगर उस नगर में न क़ैद कर जहाँ ज़िन्दगी की हवा न हो
कभी दिन की धूप में झूम के कभी शब के फूल को चूम के
यूँ ही साथ साथ चलें सदा कभी ख़त्म अपना सफ़र न हो
मेरे पास मेरे हबीब आ ज़रा और दिल के क़रीब आ
तुझे धड़कनों में बसा लूँ मैं के बिछड़ने का कभी डर न हो
                                          – बशीर बद्र