Khwaab is aankhon se ab koi chura kar le jaye – Bashir Badr

This beautiful ghazal 'Khwaab is aankhon se ab koi chura kar le jaye' has written by Bashir Badr.

Difficult Word
मुंतज़िर = इंतज़ार करना

Khwaab is aankhon se ab koi chura kar le jaye

Khwaab is aankhon se ab koi chura kar le jaye
Qabr ke sookhe hue phool utha kar le jaye
Muntzir phool mein khusboo ki tarah hoon kab se
Koi jhokein ki tarah aaye uda kar le jaye
Ye bhi paani hai magar aankhon ka aisa paani
Jo hatheli pe rachi mehandi uda kar le jaye
Main mohabbat se mahakta hua khat hoon mujh ko
Zindgii apni kitaabon mein daba kar le jaye
Khaak insaaf hai nabeena buton ke aage
Raat thaali mein chiraagon ko saza kar le jaye.
                                      – Bashir Badr
ख़्वाब इस आँखों से अब कोई चुरा कर ले जाये
(In Hindi)
ख़्वाब इस आँखों से अब कोई चुरा कर ले जाये
क़ब्र के सूखे हुए फूल उठा कर ले जाये
मुंतज़िर फूल में ख़ुश्बू की तरह हूँ कब से
कोई झोंकें की तरह आए उड़ा कर ले जाये
ये भी पानी है मगर आँखों का ऐसा पानी
जो हथेली पे रची मेहंदी उड़ा कर ले जाये
मैं मोहब्बत से महकता हुआ ख़त हूँ मुझ को
ज़िन्दगी अपनी किताबों में दबा कर ले जाये
ख़ाक इंसाफ़ है नाबीना बुतों के आगे
रात थाली में चिराग़ों को सजा कर ले जाये।
                                          – बशीर बद्र