Subah Ka Jharna, Humesha Hansne Wali Aurtein – Bashir Badr | Ghazal And Shayari

This beautiful ghazal 'Subah Ka Jharna, Humesha Hansne Wali Aurtein' has written by Bashir Badr.

 Difficult Words 
झुटपुटा = सुबह या शाम का ऐसा समय जब कुछअँधेरा और कुछ प्रकाश हो।
धात = मामला।
आतिश-फिशान =  ज्वालामुखी।

Subah Ka Jharna, Humesha Hansne Wali Aurtein

Subah ka jharna, humesha hansne wali aurtein
Jhutpute ki nadiyan, khaamosh gahri aurtein
Sadkon baazaron makaano daftron mein raat din
Laal peeli sabz  neeli, jalti bujhti aurtein
Shahar mein ek baag hai aur baag mein talaab hai
Tairti hai usme saaton rang waali aurtein
Saikadon aisi dukaane hai jahan mil jaayengi
Dhaat ki, patthar ki, sheeshe ki, rabar ki aurtein
Inke andar pak raha hai waqt ka aatish-fishaan
Ki pahaaron ko dhake hai barf jaisi aurtein
                                        – Bashir Badr
सुबह का झरना, हमेशा हंसने वाली औरतें
(In Hindi)
सुबह का झरना, हमेशा हंसने वाली औरतें
झुटपुटे की नदियां, ख़ामोश गहरी औरतें
सड़कों बाज़ारों मकानों दफ्तरों में रात दिन
लाल पीली सब्ज़ नीली, जलती बुझती औरतें
शहर में एक बाग़ है और बाग़ में तालाब है
तैरती हैं उसमें सातों रंग वाली औरतें
सैकड़ों ऐसी दुकानें हैं जहाँ मिल जायेंगी
धात की, पत्थर की, शीशे की, रबर की औरतें
इनके अन्दर पक रहा है वक़्त का आतिश-फिशान
किं पहाड़ों को ढके हैं बर्फ़ जैसी औरतें
                                             – बशीर बद्र