Difficult Word
बेहिसी = असंवेदनशीलता।
Wo Behisi Ke Din Aaye Ki Kuch Hua Na Laga
Wo behisi ke din aaye ki kuch hua na laga
Kab usko bhool gaye, ye bhi to pata na laga
Bichhadte waqt dilaase, na khokhale vaade
Wah pahli baar mujhe aaj bewafa na laga
Jaha pe dastqe pahchaankar jawaab mile
Guzar bhi aise maqa se ho to sada na laga
Yah dekhne ke saleeqa bhi kiska aata hai
Ki usne dekha mujhe aur dekhta na laga
‘Waseem’ apne garebaan mein jhaank-kar dekha
To apne chaaro taraf koi bhi bura na laga
वो बेहिसी के दिन आये कि कुछ हुआ न लगा
(In Hindi)
वो बेहिसी के दिन आये कि कुछ हुआ न लगा
कब उसको भूल गये, ये भी तो पता न लगा
बिछडते वक़्त दिलासे, न खोखले वादे
वह पहली बार मुझे आज बेवफा न लगा
जहा पे दस्तक़े पहचानकर जवाब मिले
गुज़र भी ऐसे मक़ा से हो तो सदा न लगा
यह देखने के सलीक़ा भी किसका आता है
कि उसने देखा मुझे और देखता न लगा
‘वसीम’ अपने गरेबाँ में झांककर देखा
तो अपने चारो तरफ कोई भी बुरा न लगा
– Waseem Barelvi