Wo Ladko Ke Dil Se Game Khelti Rahi Poetry By Goonj Chand

Wo Ladko Ke Dil Se Game Khelti Rahi :- Young talented poetess Goonj Chand tells us about this poetry, she said her friend cheated with his girlfriend and he is very after breakup. Goonj Chand inspired with her friends situation and she hope her friend recover himself from this saddest story by hers poetry ‘Wo Ladko Ke Dil Se Game Khelti Rahi’.

Wo Ladko Ke Dil Se Game Khelti Rahi Poetry

Kitni sachchaai se wo mujhse jhooth bolti rahi

Aur mere saath saath wo kisi aur ke dil se bhi game khelti rahi
Kitni sachaai se wo mujhse jhooth bolti rahi

Jab mere saath hoti toh use apna dost bataya karti thi

Aur wo uske saath, toh ye tag wo mujhe chipkaaya karti thi
Ye dosti aur pyaar ke chakkar mein
Woh ek achha status khojati rahi
Badi sachchaai se wo humse jhooth bolti rahi
Kitni sachaai se wo mujhse jhooth bolti rahi
Aur mere saath saath wo kisi aur ke dil se bhi game khelti rahi
Shopping karni ho toh wo mere saath jaati thi
Aur long drive or jaana ho toh wo use call lagati thi
Shopping pe jaana ho toh wo mere saath jaati thi
Aur long drive pe jaana ho toh wo use call lagati
Saala humdono ki zindagi toh 
Mall se lekar sadko mein uljhati rahi
Aur kitni sachaai se wo mujhse jhooth bolti rahi
Kitni sachaai se wo mujhse jhooth bolti rahi
Aur mere saath saath wo kisi aur ke dil se bhi game khelti rahi
Rooth jaau kabhi toh wo paas aakar manati bhi thi
Aisa nahi tha..
Rooth jaau kabhi toh wo paas aakar manati bhi thi
Aur usse milne ke chakkar mein mujhse door jaati bhi thi

Chand paiso ke laalch mein 
Wo humdono ke zindagi se khelti bhi rahi
Aur bhai badi sachaai se wo mujhse jhooth bolti rahi
Kitni sachaai se wo mujhse jhooth bolti rahi
Aur mere saath saath wo kisi aur ke dil se bhi game khelti rahi
Jhooth hi toh tha aakhir nahi chhup paaya

Aur darr gayi thi wo uss din 
Jab usne humdono ko saath khada paaya
Tab bhi wo ro ro kar, ki main tum dono se pyaar karti hoon
Bhai yahi kehti rahi
Aur wo uss bhi badi sachchaai se jhooth bolti rahi
Badi sachaai se wo mujhse jhooth bolti rahi
Aur mere saath saath wo kisi aur ke dil se bhi game khelti rahi
Suna hai aajkal kuch naye ladke aaye hai uski life mein

Waise dekha toh maine bhi tha use kisi ki bike mein
Matlab humaare baad bhi 
Wo bade shiddat se ladko ko khojti rahi
Aur bhai Sach mein 
Badi sachaai se wo mujhse jhooth bolti rahi
Badi sachaai se wo mujhse jhooth bolti rahi
Aur mere saath saath wo kisi aur ke dil se bhi game khelti rahi..

Wo Ladko Ke Dil Se Game Khelti Rahi Poetry Video