हर एक कपड़े का टुकड़ा माँ का आंचल हो नहीं सकता
हर एक कपड़े का टुकड़ा माँ का आंचल हो नहीं सकता
जिसे दुनिया को पाना है वो पागल हो नहीं सकता
जफ़ाओं की कहानी जब तलक उसमें न शामिल हो
वफ़ाओं का कोई किस्सा मुकम्मल हो नहीं सकता
किसी के दिल की मायूसी जहां से हो के गुजरी है
हमारी सारी चालाकी वहीं पर खो के गुजरी है
तुम्हारी और मेरी रात में बस फर्क इतना है
तुम्हारी सो के गुजरी है, हमारी रो के गुजरी है
कोई पत्थर की मूरत है किसी पत्थर में मूरत है
लो हमने देख ली दुनिया जो इतनी खूबसूरत है
ज़माना अपनी समझे पर मुझे अपनी खबर ये है
तुझे मेरी जरूरत है मुझे तेरी जरूरत है
– कुमार विश्वास
Har Ek Kapde Ka Tukda Maa Ka Aanchal Ho Nahin Sakta
Har ek kapde ka tukda maa ka aanchal ho nahin sakta
Jise duniya ko paana hai wo paagal ho nahin sakta
Zafaaon ki kahaani jab talak usme na shaamil ho
Wafaaon ka koi kissa mukmmal ho nahin sakta
Kisi ke dil ki maayoosi jahaan se ho ke guzari hai
Humaari saari chaalaaki Wahi par kho ke guzari hai
Tumhaari aur meri raat mein bas fark itna hai
Tumhaari so ke guzari hai, hamaari ro ke guzari hai
Koi patthar ki moorat hai, Kisi patthar mein moorat hai,
Lo humne dekh li dunia, jo itni khoobsoorat hai
Zamana apni samje par, mujhe apni khabar ye hai,
Tujhe meri zaroorat hai, mujhe teri zaroorat hai.
– Kumar Vishwas