Jawani Mein Kayi Ghazalein
Jawani mein kayi ghazalein adhoori chhut jaati hain
Kayi khwahish to dil hi dil mein, poori chhut jaati hain
Judaai mein to main usse muqmmal baat karta hoon
Mulaqaato mein sab baate, adhoori chhut jaati hain
Puraani dosti ko iss nayi taaqat se mat taulo
Ye sambandho ki turpaayi, sanyantro se mat kholo
Mere lehje ke chheni se gade jo devta kal
Mere lafzo mein marte the wo, ab kehte hai mat bolo
Jo main ya tum samjh le wo ishaara kar liya maine
Bharosa bas tumhara tha, tumhara kar liya maine
Leher hai, hausla hai, rab hai, himmat hai, duaaye hai
Kinaara karne waalo se, kinaara kar liya maine
जवानी में कई ग़ज़लें (In Hindi)
जवानी में कई ग़ज़लें अधूरी छूट जाती हैं
कई ख़्वाहिश तो दिल ही दिल में, पूरी छूट जाती हैं
जुदाई में तो मैं उससे मुकम्मल बात करता हूँ मुलाकातों में सब बातें, अधूरी छूट जाती हैं
पुरानी दोस्ती को इस नयी ताक़त से मत तौलो
ये सम्बंधो की तुरपाई, संयंत्रो से मत खोलो
मेरे लहजे के छेनी से गढ़े जो देवता कल
मेरे लफ़्ज़ों में मरते थे वो, अब कहते है मत बोलो
जो मैं या तुम समझ ले वो इशारा कर लिया मैंने
भरोसा बस तुम्हारा था, तुम्हारा कर लिया मैंने
लहर है, हौसला है, रब है, हिम्मत है, दुआएं है
किनारा करने वालो से, किनारा कर लिया मैंने
Kumar Vishwas all the way … ����