Raat Bhar Ek Khwaab Dekha In Hindi
रात भर एक ख्वाब देखा
मुसलसल आफताब देखा
चेहरा था नूरानी उसका
नूर का सैलाब देखा
खुशबू ख्वाब भर फैली
खुशबू को महसूस किया
उसके बदन पर इस मानिंद
फूलों का एक बाग देखा
नदियों ने आकार लिया उसकी बदन की अंगड़ाई से
इतनी नदियां देखी मतलब ख्वाबों में पंजाब देखा
और खुदा की रहमत से क्या खूब नशीली आंखें थी
उन नशीली आंखों में अपना हम-शराब देखा
रात भर एक ख्वाब देखा
रात भर एक ख्वाब देखा
मैंकदे से मैं चला और मैं तमाशा बन गया
यानी फिर से तारे मुझसे शायरी सुनते रहे।
– पुष्कर चौहान
Raat Bhar Ek Khwaab Dekha
Raat bhar ek khwaab dekha
Musalsal aaftaab dekha
Chehra tha nooraani uska
Noor ka sailaab dekha
Khushboo khwaab bhar faili
Khushboo ko mahsoos kiya
Uske badan par is maanind
Phoolon ka ek baag dekha
Nadiyon ne aakaar liya
Uski badan ki angadai se
Itni nadiyaan dekhi matlab khwaabon mein panjaab dekha
Aur khuda ki rahmat se kya khoob nasheeli aankhen thi
Un nasheeli aankhon mein apana hum-sharaab dekha
Raat bhar ek khwaab dekha
Raat bhar ek khwaab dekha…
Maikade se main chala aur main tamaasha ban gaya
Yaani phir se taare mujhse shaayari sunate rahe.
– Pushkar Chauhan