About This Poetry:
This unreleased poetry ‘Kabhi Jeet Rahe, Kabhi Haar Rahe’ which is written by Zakir Khan.
Courtesy: Fb/ZakirKhan
Kabhi Jeet Rahe, Kabhi Haar Rahe
50 rs ki poket money,
60 rs ki chocolate ice-cream.
Hum sala wassepur ke side character,
Aur tum..
Tum jaise koi happy dream.
Phir bhi effort toh maar hi rahe hain,
Ishq ki bazi hai,
Kabhi Jeet rahe,
Kabhi haar rahe hain.
Hum nahan bhi le toh feel nahi Aati hai,
Tumhari toh notebook se bhi khoshboo aati hai.
Poore school me koi bhi kand ho,
Prime accuse hum hi kehlate hain.
Humari ek copy aisi nahi jo complete ho,
Aur Ek yeh, kabhi top se kam hi nahi aate hai.
Phir bhi effort toh maar hi rahe hain,
Ishq ki bazi hai,
Kabhi Jeet rahe,
Kabhi haar rahe hain.
Cousin ka jacket maar liya,
papa ke paise churaye hain.
Bike kahan milti hai roz,
Bheek mang kar tank full karwayein hain.
Woh…. titli ki design wala clutcher tha na tumhara?
shikha ne nahi maine uthaya tha.
Aur woh Aladdin ke passes
koi online contest me nahi jeete,
Mai ghadi bech kar laaya tha.
Dheere dheere tumhare saare shauk,
Apni auqaat ke bahar ho gaye hain.
Ab golgappon ko hi dekh lo,
60 rs ke ke sirf char reh gaye hain.
Bhai ki gaadi apni atma se dhoi thi
Isilye film ke beech popcorn la paaya tha,
Greeting cards ke liye survey bhare they,
Bachhe ke mundan par Pokemon bana
Tab tumhare birthday ka cake laaya tha.
Thoda karza kiya hai,
Thoda khud kamaya hai.
Ab Tum hi dekh lo ab,
Ek tumhari smile ke peeche.
Itne logon ka saaya hai.
Kisi din dil kare toh..
sabke samne bas haath pakad lena
Baki toh sab moh maaya hai.
Dekho effort toh hum full maar hi rahe hain,
Ishq ki bazi hai,
Kabhi Jeet rahe,
Kabhi haar rahe hain..
– Zakir Khan
Courtesy – Fb/ZakirKhan