Ab Mohabbat Karun Bhi To Kissey Karun By Md. Zaid – The Social House Poetry

Ab Mohabbat Karun Bhi To Kissey Karun Poetry :- This beautiful love poetry  'Ab Mohabbat Karun Bhi To Kissey Karun' for The Social House is presented by Md. Zaid and also written by him which is very beautiful a piece.

Ab Mohabbat Karun Bhi To Kissey Karun Poetry :- This beautiful love poetry  ‘Ab Mohabbat Karun Bhi To Kissey Karun’ for The Social House is presented by Md. Zaid and also written by him which is very beautiful a piece.

Ab Mohabbat Karun Bhi To Kissey Karun 

Main saham jaata hoon use khone ke khyaal se
Warna main koi kaayar nahin hoon
Aur main likh leta hoon thoda bahut
Warna main aashiq hoon koi shaayar nahin hoon
Na pareshaaniyan na koi majboori thi
Galati hamari nahin ye kahani to khuda ne likhi hi adhoori thi
Mohabbat karoon bhi to kissey karoon
Ab raat raat bhar baaten karoon bhi to kissey karoon
Ek tu hi to tha sunne samajhane waala
Ab shiksta-dil ka haal bayaan karoon bhi to kissey karoon
Zindagi bhar saath rahne ke khwaab dekhe the
Ab akela un khwaabon ko poora karoon bhi to kaise karoon 
Tera haath pakadkar chala jahaan  
Ab tanha un raaston par chaloon bhi to kaise chaloon
Mere dil ne chaaha hai tujhe mujhse bhi jyaada
Ab tujhe is dil se rukhsat karoon to kaise karoon
Tujhe bepanaah chaaha hai maine pichhale kuch saalon mein 
Ab main tujhe bhool jaoon ye main kaise karoon
Tu udaas mat hona chaahe main rahoon ya na rahoon 
Ye kaha tha na toone, to main ranj karoon bhi to kaise karoon
Teri yaaden ab mujhe jeene nahin deti 
Aur khudkushi gunaah hain mere majahab mein
Toh tu bata main maru bhi to kaise maru
                                                – Md. Zaid
(In Hindi)
मैं सहम जाता हूं उसे खोने के ख्याल से
वरना मैं कोई कायर नहीं हूं
और मैं लिख लेता हूं थोड़ा बहुत
वरना मैं आशिक हूं कोई शायर नहीं हूं
ना परेशानियां ना कोई मजबूरी थी
गलती हमारी नहीं ये कहानी तो खुदा ने लिखी ही अधूरी थी
मोहब्बत करूं भी तो किससे करूं
अब रात रात भर बातें करूं भी तो किससे करूं
एक तू ही तो था सुनने समझने वाला
अब शिकस्ता-दिल का हाल बयां करूं भी तो किससे करूं
जिंदगी भर साथ रहने के ख्वाब देखे थे
अब अकेला उन ख्वाबों को पूरा करूं भी तो कैसे करूं 
तेरा हाथ पकड़कर चला जहां  
अब तन्हा उन रास्तों पर चलूं भी तो कैसे चलूं
मेरे दिल ने चाहा है तुझे मुझसे भी ज्यादा
अब तुझे इस दिल से रुखसत करूं तो कैसे करूं
तुझे बेपनाह चाहा है मैंने पिछले कुछ सालों में 
अब मैं तुझे भूल जाऊं ये मैं कैसे करूं
तू उदास मत होना चाहे मैं रहूं या ना रहूं 
ये कहा था ना तूने तो मैं रंज करूं भी तो कैसे करूं
तेरी यादें अब मुझे जीने नहीं देती 
और खुदकुशी गुनाह हैं मेरे मजहब में
तो तू बता मैं मरू भी तो कैसे मरू
                                                – Md. Zaid