Dear Crush :- How is the feeling and emotions of every boy about his first crush in school days..?
Find out in Yahya Bootwaala love latter which is titled “Dear Crush” to all the ones that got away. This love letter ‘Dear Crush’ written and performed by Yahya Bootwaala on the label of Netflix India.
Dear Crush
Dear crush,
Tum na, mere har kaash mein basti ho
School mein pyar ka andaaza issi se ho jaata tha ki
Aap peechhe mudkar kitne baar dekhte ho
Aur maine apni aadhi school life peechhe mudne mein nikaal di
Aur baaki ki aadhi tum aage baitha karti thi
Kaash dekhte dekhte kisi din tumse aake baat hi kar leta
Waise tumhe pata nahi hoga par
Maths ke har class mein main utsaah se isliye answer diya karta tha
Kyuki mujhe pata tha ki tum maths mein thodi weak ho
Main jaanta tha ki tum apne doubts kisi na kisi se puchha karti hogi
Main chaahta tha ki tum mujhse puchho
Kaash..! kisi din main hi approach kar leta
Apni notebook ke saath
Mere saare dost jaante the ki tumhaare peechhe kitna deewana hoon
Unhone to ik baar mere desk pe tumhaara naam bhi khured diya tha, mere naam ke saath
Tum dekhti usse pehle hi maine mita diya
Masoom se dil ko woh karte waqt bhi bahut bura laga
Humaara naam kahin bhi ho use mitaane mein bura toh utna hi lagta tha
Kaash..! maine rehne diya hota
Toh shayad galati se hi kisi din padh leti
Tumhe pata hai school mein wo 350 waale woh SMS pack aate the
Main hamesha woh karwaata tha ye sochkar ki
Tumse baat ho jaayegi
Par phir main kharch kar deta tha apne doston par
Ye discuss karne mein ki tumse baat karoon bhi toh kya karoon..?
Kaash, uss 350 waale SMS pack mein se maine ek message tumhe kar diya hota
Aur haan kya tumhe aaj bhi English utna hi pasand hai..?
Dekho sach batata hoon, mujhe English itni nahi pasand thi
Par jab bhi tum mere aas paas guzarti na,
Toh main English mein bolna shuru kar deta tha
Kabhi kabaar toh Shakespeare ko bhi qoute kar deta tha
Pata nahin kyun..?
Kaash, kisi din tumhaare saamne hi aake English mein baat kar leta
Pata chal jaata ki tum impress ho rahi ki nahi..??
Par sabse bada afsos mujhe iss baat ka hai ki
Ke jab corridor mein hum chaltein rehte aur humaare haath takraate
Toh main tumhaare har ungli ko fisalte hue mehsoos karta
Tum thoda aage jaati, palatti, muskuraati
Aur phir apne raaste chale jaati
Kaash main tumhara haath thaam leta
Agar tumhe bura lagta toh main wapas kabhi nahi karta par,
Agar tumhe accha lagta toh,
Toh mujhe bhi jawaab mil jaata
Kitne kaash se bhari hai na humaari zindagi
Aaj bhi dekho.. Tumhare naam ki chitthi likhi hai par,
Par bhej paaunga ki nahin wo nahi pata
Agar inn ‘Kaash’ mein se koi ek ‘Kaash’ bhi main sach kar paata na,
Toh aaj tum shayad sirf meri crush nahi,
Meri humdard bhi hoti
– Yahya Bootwala