Main Tumse Pyar Karta Hoon Poem
दुआएं तब भी पढ़ता था,
Wo mera chaand sau tukdon mein toota,
Jise main dekhta tha aakh bhar ke
Jahaan par laal ho jaate hain aasoon ,
Main lauta hoon usi hadd se gujar ke
Mujhe maaloom hai shaamein tumhaari kisi ke naam likhi ja chuki hain
Magar main kya karoon,
Ki meri ghadiyaan tumhaare waqt pe ab tak rooki hui hain
Meri ho tum ye koi nahin kahega
Magar ye sach to phir bhi sach rahega
Main tumse pyaar karta tha
Main tumse pyaar karta hoon
Yah kaisa raabta hai mera tumse
Tumhen khone se darta tha
Tumhen khone se darta hoon
Main tumse pyaar karta tha
Main tumse pyaar karta hoon
Zahar barsa hai kya nindon pe meri
Ya meri aankhon mein nashtar gade hain
Wajah kya hai? Koi samajhaye mujhko
Ye mere khwaab kyon neele pade hai
Tasalli apni apne paas rakho
Mujhe ye dard ki raatein hai pyaari
Ye mera ishq hai mera rahega
Jaroorat hi nahin mujhko tumhaari
Khalish ab tak mere dil mein dabi hai
Mujhe jo kal thi, wo zidd aaj bhi hai
Main tumse pyaar karta tha
Main tumse pyaar karta hoon
Tumhaari khairiyat ke vaaste main
Duaaen tab bhi padhta tha,
Duaaen ab bhi padhta hoon
Main tumse pyaar karta tha
Main tumse pyaar karta hoon
Bhatakti rah gayi ek raat meri
Tumhaare baajuo mein so na paayi
Bahut kuchh hota hai duniya mein lekin
Yahi ek cheez thi jo ho na paayi
Hawa mein ghar banaaya tha kabhi jo
Usi ke saamne bebas pada hoon
Tumhaare bin dareecha kaun kholen?
Kayi janmon se main baahar khada hoon
Ye dil jo panna-panna fatt chuka hai
Kabhi padhna ki is par kya likha hai
Main tumse pyaar karta tha
Main tumse pyaar karta hoon
Jo jeete ji na mera naam lenge
Unhin hontho pe marta tha
Unhin hontho pe marta hoon
Main tumse pyaar karta tha
Main tumse pyaar karta hoon
– Manoj Muntashir