About This Poetry :- A well known young poet Jai Ojha bring a another beautiful poetry which is titled ‘Talaash’ written and performed by him. In this poetry poet Jai Ojha described the ways and feelings of whole journey of a man who search for his beloved.
Talaash By Jai Ojha
आज भी हर शहर में बस तुम ही को ढूंढता हूं
Sab kuch mila tere jaane ke baad
Par khalti rahi jo dil mein kahin
Bas us ek kami ko dhoondhta hoon
Khud ko bhool kar main khud hi ko dhoondhta hoon
Maut ke kagaar par zindagi ko dhoondhta hoon
Main jaanta hoon ja chuki tum
Aaj bhi har shahar mein bas tum hi ko dhoondhta hoon
Aaj bhi har shahar mein bas tum hi ko dhoondhta hoon
Yoon raaste mein nazmein ghazale kavitaaye bahut mili hai mujhe
Par main bhi kamaal hoon ki bas us adhoori shayari ko dhoondhta hoon
Main jaanta hoon ja chuki tum
Aaj bhi har shahar mein bas tum hi ko dhoondhta hoon
Aaj bhi har shahar mein bas tum hi ko dhoondhta hoon
Apne bheetar dil mein kahin ek bawaal liye main chal raha hoon
Aakhir kya wajah rahi tere jaane ki ye ajeeb sawaal liye main chal raha hoon
Haan block hoon main teri zindagi mein har jagah se
Par yakin maan ki har shab mein bas us ek
ID ko dhoondhta hoon
Main jaanta hoon ja chuki tum
Aaj bhi har shahar mein bas tum hi ko dhoondhta hoon
Aaj bhi har shahar mein bas tum hi ko dhoondhta hoon
Chal raha hoon bas talaash mein nahin jaanta kahan ho tum
Kurbaan thi jo mujh par kabhi
Ab kya kisi gair par fanaa ho tum
Wo aansoo bhi ab sukh gaye jo bahe the tere hijr mein
Par na jaane kyon main apne gaal par us nami ko dhoondhta hoon
Main jaanta hoon ja chuki tum
Aaj bhi har shahar mein bas tum hi ko dhoondhta hoon
Aaj bhi har shahar mein bas tum hi ko dhoondhta hoon
Talaash hai mujhe teri magar khud ko hi main pa raha hoon teri gali ko chhod kar uski gali mein ja raha hoon
Faqat zinda rahoon itna mujhe ab kaafi nahin
Bas isiliye main is dil mein chhupi us zindaadili ko dhoondhta hoon
Main jaanta hoon ja chuki tum
Aaj bhi har shahar mein bas tum hi ko dhoondhta hoon
Aaj bhi har shahar mein bas tum hi ko dhoondhta hoon
Raahi hoon, main raasta hoon, manjil bhi shayad main hi hoon
Dariya hoon main bahata hua, saahil bhi shayad main hi hoon
Zamaane ka pyaar khokhla hai sach kahoon
Bas isiliye main aankhon mein kisi shakhs ke ishq soofi dhoondhta hoon
Main jaanta hoon ja chuki tum
Aaj bhi har shahar mein bas tum hi ko dhoondhta hoon
Aaj bhi har shahar mein bas tum hi ko dhoondhta hoon
Yoon raaste mein nazmein ghazale kavitaaye bahut mili hai mujhe
Par main bhi kamaal hoon ki bas us adhoori shayari ko dhoondhta hoon
Main jaanta hoon ja chuki tum
Aaj bhi har shahar mein bas tum hi ko dhoondhta hoon
Aaj bhi har shahar mein bas tum hi ko dhoondhta hoon
Dasht mein kahin dhoondh raha hai hiran apni kastoori ko
Kitna mushkil hai tay karna khud se khud ki doori ko