Toota Dil Lyrics :- If you feel your life has lost after breakup from your someone special. In this case you want to move on your life like before then you should read this beautiful hindi poetry which is titled “Toota Dil“. Very beautiful and young poetess Nidhi Narwal written and performed this motivation poetry under label of Nidhi Narwal official channel.
Toota Dil Poetry
Ek toote hue insaan ke paas
Wo behad milta hai
Jiske liye aksar log taras jaate hai
“Umeed“
Umeed milna bahut aasan hai
Magar umeed rakhna shayad bahut mushkil hai
Mera dil jab pehli dafaa toota tha
Mujhe aaj bhi yaad hai mujhe aisa laga tha ki
Maano maine apna sab kuch kho diya ho
Ki maano wo ek insaan, wo khwaab,wo waqt ya wo ek lamha
Jo behad khoobsurat tha, behad pyaara tha
Jo mujhe kabhi na wapas aane ke liye chhod gaya
Wahi mera aakhiri tha
Par main faqat yahi sochkar bikhari ki
Wahi mera aakhiri tha
Thoda waqt zaroor laga magar umeed mili mujhe
Saari raat ek khidki ke paas baithkar ashkon mein lipti shikaayaton ka dher laga diya
Aur subah hone par aaftaab ki pehli jhalak par bas ek khayaal
Ki agar ye kambakht har shaam dhalne ke baawjood bhi
Utne hi ujaale, utne hi junoon ke saath waapas laut kar aa sakta hai
Toh main kyon nahi..?
Toh main kyon nahi..?
Jab tak main chaahti hoon ki main zindagi tak rahoongi, main rahoongi
Kyoki ek baat toh tay hai ki maut kisi ki nahi aati maut ko hum bulaate hai
Jise jaana tha wo toh jaa chuka haan maana ki ab uske aur mere darmiyaan kuch faasle tay ho gaye
Magar zindagi se toh abhi bhi utni hi nazdeekiya barkaraar hai
Thoda waqt zaroor laga magar samajh mein aaya mujhe
Ki pehle toh bas ek dil dhadkata tha magar ab iss toote hue dil ka ek ek tukda dhadkata hai
Toh tumhe agar ho bhi toh afsos mat karna ki main beqas reh gayi ya tum mujhe boseeda hi chhod gaye mujhe
Kyuki yakeen maano ye tumhaare dil todne ka hi nateeja hai
Ki mere toote hue dil ki daraare umeedon se bhari hongi
Ye daraare ab zar ke jaisi chamakti hai aur behad khoobsurat lagta hai dil
Pehle se jyaada kayi jyaada toh tumhaara dil se shukariya hai ki tum dil tod gaye.
– Nidhi Narwal