Teri Mitti Unreleased Lyrics :- At the 71th Independence Day Of India lyricist Manoj Muntashir ready to release his unreleased version song of original song Teri Mitti. In this song Manoj Muntashir added poetry and his voice. Song sung in the voice of female artist Rupali Jagga. Video of this song has directed by Veer Kanabar. This song is presented by Manoj Muntashir official label.
Song Title – | Teri Mitti Unreleased |
Vocals – | Rupali Jagga, Manoj Muntashir |
Music – |
Arko |
Lyrics – | Manoj Muntashir |
Video by – | Veer Kanabar |
Music Label – | Manoj Muntashir |
Teri Mitti Unreleased Lyrics
Din sagana da ae jashn karo
Lau uchi karo mashaalon ki
Keshariyan shehre mein saz ke
Baraat chali matwaalon ki
Tumhaare naam ke mandir nahi bane hai kahi
Na masjidon ne hi sajda kabhi kiya hai tumhe
Magar khudaaon se badh ke jo rutba hota hai
Zameen-e-hind ne wo martaba diya hai tumhe
Wo goliyan jo humaari taraf badhi thi kabhi
Tum apne seene mein bhar ke zameen pe let gaye
Jaha bhi pyar se maa bharati ne thapaki di
Bacche ke manid wahi par let gaye
Utha ke haath duaaein padhi hai mitti ne
Tumhaare jaise jiyaale sapoot paane ko
Jo lapte leke shikayat yahi saheed hue
Ki jaan ik hi milti hai kyun lutaane ko
Tumhi na hote toh duniya babool ho jaati
Zameen-e-khoon se yun laal azaar karta kaun?
Hazaaron log hai yun toh zamaane mein
Lekin hamaare vaaste yun muskura ke marta kaun
Haathon se mere ye haath tere
Chhute toh yaar sihar gayi main
Tu sarhad pe balidaan hua
Dehliz pe ghar ki mar gayi main
Tu dil mein aabad hai yun
Jaise ho phool kitaabon mein
O maahiya ve vaada hai mera
Hum roz milenge khwaabon mein
Teri mitti mein mill jawaan
Gul banke main khill jawaan
Itni si hai dil ki aarzoo
Teri nadiyon mein beh jawaan
Teri kheton mein lehrawaan
Itni si hai dil ki aarzoo
Aa..
Bhale kacchi umar mein zindagi ki shaam aa jaaye
Ye mumkin hi nahi ke khoon pe ilzaam aa jaaye
Hamaare gaaon mein behne use raakhi na baandhengi
Patal ke jang se bhai agar naakam aa jaaye
Saawan ki jhadi jab lagti hai
Boondon mein tu hi barsata hai
Tu hi toh hai jo jharno ki
Paani mein chhup ke hansta hai
Tyohaar mere sab tujhse hi
Meri Holi tu, Vaisakhi tu
Main aaj bhi hoon jogan teri
Hai aaj bhi mujhme baaki tu
Teri mitti mein mill jawaan
Gul banke main khill jawaan
Itni si hai dil ki aarzoo
Teri nadiyon mein beh jawaan
Teri kheton mein lehrawaan
Itni si hai dil ki aarzoo
Aa..
Hum fauji hai lekin baarood se nahi bane,
Na humaare seene mein dil ki jagah dynamite hai
Na aakhon mein paani ki jagah aag
Hum ikdam tumhaare jaise hai
Hume bhi jab apno ki yaad sataati hai
Toh chain ki saans nahi lene deti
Humaari dhadkano mein hindustan hai
Lekin pars mein paanch varas ki beti
Kisi ki photo seene se laga ke sote hai
Kisi ka diya hua taaweez pehen ke khush hote hai
Aur ghar se chithi aati hai
Toh lifaafa choom ke rote hai
Hume dawaaon aur marhamo ki kami nahi
Lekin jab kabhi koi goli baaju cheer jaati hai
Toh maa ki phoonk bahut yaad aati hai
Toh agali baar jab akhbaar mein padhna
Ke galwaan ki ghaati mein 20 fauji saheed ho gaye
Toh hume ginti samajh ke bhool mat jaana
Saathi samajh ke yaad rakhna
Kyuki hum ikdam tumhaare jaise hai