Uske Ghar Gulab Phenk Aaya
कि अब बस तुझे भूलने के लिए याद करता हूं
कुछ हद तक अपनी आदतों से सुधर रहा हूं मैं
जानता हूं तूने बदल लिया है शहर अपना
फिर भी तेरी गली से गुजर रहा हूं मैं
तू खिड़की पे नहीं फिर भी गुलाब फेंक आया
ये किस बेशर्मी पे उतर रहा हूं मैं
एक उम्र कटी है रहीसी में साथ तेरे
बिन तेरे जिंदगी मुफलिसी में बसर कर रहा हूं मैं
मिल गया है महबूब हूबहू तेरे जैसा
लबों से लगाकर जहर उसका,
तेरे जहर को बेअसर कर रहा हूं मैं
मेरी नजर से देख किस नजर से देखता था
नजरें अपनी तुझे नज़्र कर रहा हूं मैं
जो आस्तीन में खंजर है उतार देना मेरे सीने में
तुझे बेवफा कहके गलती कोई अगर कर रहा हूं मैं
अब क्यों हैरानी रखती हो मेरे लहजे में
मोहतरमा तुम्हारी ही तो नकल कर रहा हूं मैं।
अपने किरदार को पहचान मेरे लफ्जों में
अब अपनी कहानी को ग़ज़ल कर रहा हूं मैं
मेरी नजर उससे हटने पर जो उठी वो नजर याद है
पूरे बगीचे की खूबसूरती मेरे जहन में नहीं,
जिस छांव में बैठ उसे निहार रहा था वो शजर याद है
और ऐसी याददाश्त का तुम क्या करोगे ‘कान्हा’
खुद पर लिखे दो शेर याद नहीं,
उस पर लिखी पूरी ग़ज़ल याद है
(Kanha Kamboj Shayari )
Ki ab bas tujhe bhoolne ke liye yaad karta hoon
Kuchh had tak apni aadaton se sudhar raha hoon main
Jaanta hoon tune badal liya hai shahar apna
Phir bhi teri gali se gujar raha hoon main
Tu khidaki pe nahin, phir bhi gulaab phenk aaya
Ye kis besharmi pe utar raha hoon main
Ek umr kati hai rahisi mein saath tere
Bin tere zindagi mufalisi mein basar kar raha hoon main
Mil gaya hai mahboob hoo-ba-hoo tere jaisa
Labon se lagakar zahar uska,
Tere zahar ko be-asar kar raha hoon main
Meri najar se dekh kis najar se dekhta tha
Najarein apni tujhe nazr kar raha hoon main
Jo aastin mein khanjar hai utaar dena mere sine mein
Tujhe bewfa kahke galati koi agar kar raha hoon main
Ab kyon hairaani rakhati ho mere lahaje mein
Mohtrama tumhaari hi to nakal kar raha hoon main
Apne kirdaar ko pahchaan mere lafzon mein
Ab apni kahaani ko ghazal kar raha hoon main
Meri najar usse hatne par jo uthi wo najar yaad hai
Poore bageeche ki khoobsurati mere jahan mein nahin,
Jis chhaanv mein baith use nihaar raha tha wo shajar yaad hai
Aur aisi yaaddaasht ka tum kya karoge ‘Kanha’
Khud par likhe do sher yaad nahin,
Us par likhi poori ghazal yaad hai
– Kanha Kamboj