Aankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Li Lyrics :- A very beautiful love song Lut Gaye’s line “Aankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Li” is viral nowadays. This song has sung in the melodious voice of very talented artist Jubin Nautiyal. Actor Emraan Hashmi and gorgeous actress Yukti Thareja are featuring in this song for making more catchy. Music of this song has given by Tanishk Bagchi while this beautiful new song lyrics has penned by Manoj Muntashir. Video of this song has directed by Radhika Rao and Vinay Sapru. This song has published under the label of T-Series.
Song Title – | Aankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Li |
Singer – | Jubin Nautiyal |
Music – |
Tanishk Bagchi |
Lyrics – | Manoj Muntashir |
Video by – | Radhika Rao & Vinay Sapru |
Music Label – | T-Series |
Aankh Uthi Mohabbat Ne Angrai Li Lyrics
[Some sargam here]
Maine jab dekha tha tumko
Raat bhi wo yaad hai mujhko
Taare ginte ginte so gaya
Dil mera dhadka tha kaske
Kuch kaha tha tune hanske
Main usi pal tera ho gaya
Aasmaano pe jo khuda hai
Usse meri yahi duaa hai
Chand ye har roz main dekhun
Tere saath mein
Aankh uthi mohabbat ne angdaai li
Dil ka sauda hua chandni raat mein
Ho teri nazaron ne kuch aisa jaadu kiya
Lut gaye hum toh pehli mulaqaat mein
Aankh uthi…
Aa…
[Some sargam here]
Paanv rakhna na zameen par
Jaan rukja tu ghadi bhar
Thode taare toh bichha doon
Main tere vaaste
Aazmaan le mujhko yaara
Tu zara sa kar ishaara
Dil jala ke jagmaga doon
Main tere vaaste
Mere jaisa ishq mein pagal
Phir mile ya na mile kal
Sochna kya haath ye de de
Mere haath mein
Aankh uthi mohabbat ne angdaai li
Dil ka sauda hua chandni raat mein
Ho teri nazaron ne kuch aisa jaadu kiya
Lut gaye hum toh pehli mulaqaat mein
Aankh uthi…
[Some sargam here]
Haan..
Qisse mohobbat ke
Hai jo kitaabon mein
Sab chaahta hoon main
Sang tere dohraana
Kitna zaroori hai
Ab meri khaatir tu
Mushkil hai mushkil hai
Lafzon mein keh paana
Ab toh ye aalam hai
Tu jaan maange toh
Main shaunk se de doon saugaat mein
Aankh uthi mohabbat ne angdaai li
Dil ka sauda hua chandni raat mein
Ho teri nazaron ne kuch aisa jaadu kiya
Lut gaye hum toh pehli mulaqaat mein
Haan uthi