Shabnam Ke Aansoo Phool Par Ye To Wahi Kissa Hua – Bashir Badr | Shayari And Ghazal

Shabnam Ke Aansoo Phool Par Ye To Wahi Kissa Hua Shayari has written by Bashir Badr.

Shabnam Ke Aansoo Phool Par

Shabnam ke aansoo phool par ye to wahi kissa hua
Aankhe’n meri bheegi hui chehara tera utra hua
 
Ab in dinon meri ghazal khushboo ki ik tasveer hai
Har lafz gunche ki tarah khilkar tera chehara hua
Mandir gaye maszid gaye peeron faqeeron se mile
Ik us ko paane ke liye kya kya kiya kya kya hua
Shayad ise bhi le gaye achhe dinon ke kaafile
Is baag me ik phool tha teri tarah hansta hua
Anmol moti pyar ke, duniya chura ke le gayi
Dil ki haweli ka koi darwaaza tha toota hua
शबनम के आँसू फूल पर ये तो वही क़िस्सा हुआ
आँखें मेरी भीगी हुईं चेहरा तेरा उतरा हुआ
अब इन दिनों मेरी ग़ज़ल ख़ुश्बू की इक तस्वीर है
हर लफ़्ज़ गुंचे की तरह खिल कर तेरा चेहरा हुआ
मंदिर गये मस्जिद गये पीरों फ़कीरों से मिले
इक उस को पाने के लिये क्या क्या किया क्या क्या हुआ
 
शायद इसे भी ले गये अच्छे दिनों के क़ाफ़िले
इस बाग़ में इक फूल था तेरी तरह हँसता हुआ
अनमोल मोती प्यार के, दुनिया चुरा के ले गई
दिल की हवेली का कोई दरवाज़ा था टूटा हुआ
Written By:
Bashir Badr