Source
लेखक – वसीम बरेलवी
किताब – आँखों आँखों रहे
प्रकाशन – वाणी प्रकाशन
संस्करण – 2008
Difficult Word
फ़नकार = कलाकार।
Us Ne Meri Raah Na Dekhi
Us ne meri raah na dekhi aur wo rishta tod liya
Jis rishte ki khaatir mujh se duniya ne munh mod liya
Badi badi khushiyon ko haan nazdeek se ja kar dekha to
Main ne raah ke chalte-phirte dukh se naata jod liya
Main kitne rangon mein dhalta kab tak khud se lad paata
Jeevan ek safar tha jis ne roz naya ik mod liya
Aise shakhs ko meer banaaya jo bas khwaab dikhaata tha
Basti ke logon ne apna-aap muqaddar phod liya.
Main to bhola-bhaala ‘Waseem’ aur wo fankaar siyaasat ka
Us ke jab ghatne ki baari aayi mujh ko jod liya.
(In Hindi)
उस ने मेरी राह न देखी और वो रिश्ता तोड़ लिया
जिस रिश्ते की ख़ातिर मुझ से दुनिया ने मुँह मोड़ लिया
बड़ी बड़ी ख़ुशियों को हाँ नज़दीक से जा कर देखा तो
मैं ने राह के चलते-फिरते दुख से नाता जोड़ लिया
मैं कितने रंगों में ढलता कब तक ख़ुद से लड़ पाता
जीवन एक सफ़र था जिस ने रोज़ नया इक मोड़ लिया
ऐसे शख़्स को मीर बनाया जो बस ख़्वाब दिखाता था
बस्ती के लोगों ने अपना-आप मुक़द्दर फोड़ लिया।
मैं तो भोला-भाला ‘वसीम’ और वो फ़नकार सियासत का
उस के जब घटने की बारी आई मुझ को जोड़ लिया।
– Waseem Barelvi