Difficult Words
ख़ुदमुख़्तारी = आज़ादी, स्वतंत्रता।
सलीकामंद= हुनरमंद, शऊरदार।
Mohabbat Na-samajh Hoti Hai
Mohabbat na-samajh hoti hai samajhaana zaroori hai
Jo dil mein hai use aankhon se kehalaana zaroori hai
Usoolon par jaha aanch aaye takaraana zaroori hai
Jo zinda ho toh phir zinda nazar aana zaroori hai
Nayi umron ki khud-mukhtaariyon ko kaun samajhaye
Kahan se bach ke chalana hai kahaan jaana zaroori hai
Thake-haare parinde jab basere ke liye laute
Saleeqa-mand shaakhon ka lachak jaana zaroori hai
Bahut bebaak aankhon mein talluq tik nahi paata
Mohabbat mein kashish rakhne ko sharmaana zaroori hai
Saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karane ka
Jo kehta hai khuda hai to nazar aana zaroori hai
Mire honton pe apni pyaas rakh do aur phir socho
Ki iss ke baad bhi duniya mein kuch paana zaroori hai
(In Hindi)
मोहब्बत ना-समझ होती है समझाना ज़रूरी है
जो दिल में है उसे आँखों से कहलाना ज़रूरी है
उसूलों पर जहाँ आँच आए टकराना ज़रूरी है
जो ज़िंदा हो तो फिर ज़िंदा नज़र आना ज़रूरी है
नई उम्रों की ख़ुद-मुख़्तारियों को कौन समझाए
कहाँ से बच के चलना है कहाँ जाना ज़रूरी है
थके-हारे परिंदे जब बसेरे के लिए लौटें
सलीक़ा-मंद शाख़ों का लचक जाना ज़रूरी है
बहुत बेबाक आँखों में तअल्लुक़ टिक नहीं पाता
मोहब्बत में कशिश रखने को शर्माना ज़रूरी है
सलीक़ा ही नहीं शायद उसे महसूस करने का
जो कहता है ख़ुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है
मिरे होंटों पे अपनी प्यास रख दो और फिर सोचो
कि इस के बाद भी दुनिया में कुछ पाना ज़रूरी है
– Waseem Barelvi