Difficult Word
तरफ़-दार = पक्षपाती, अनुयायी, समर्थक, आंशिक।
Rang Be-rang Ho Khushboo Ka Bharosa Jaye
Rang be-rang ho khushboo ka bharosa jaye
Meri aankhon se jo duniya tujhe dekha jaye
Hum ne jis raah ko chhoda phir use chhod diya
Ab na jayenge udhar chaahe zamaana jaye
Main ne muddat se koi khwaab nahin dekha hai
Haath rakh de miri aankhon pe ki neend aa jaye
Main gunaahon ka taraf-daar nahin hoon
Phir bhi raat ko din ki nigaahon se na dekha jaye
Kuch badi sochon mein ye sochein bhi shaamil hain ‘Waseem’
Kis bahaane se koi shahar jalaaya jaye.
(In Hindi)
रंग बे-रंग हों ख़ुशबू का भरोसा जाए
मेरी आँखों से जो दुनिया तुझे देखा जाए
हम ने जिस राह को छोड़ा फिर उसे छोड़ दिया
अब न जाएँगे उधर चाहे ज़माना जाए
मैं ने मुद्दत से कोई ख़्वाब नहीं देखा है
हाथ रख दे मिरी आँखों पे कि नींद आ जाए
मैं गुनाहों का तरफ़-दार नहीं हूँ फिर भी
रात को दिन की निगाहों से न देखा जाए
कुछ बड़ी सोचों में ये सोचें भी शामिल हैं ‘वसीम’
किस बहाने से कोई शहर जलाया जाए।
– Waseem Barelvi