Beete Hue Din Khud Ko Jab Dohraate Hain
Beete hue din khud ko jab dohraate hain
Ek se jaane hum kitne ho jaate hain
Hum bhi dil ki baat kahan kah paate hain
Aap bhi kuchh kahte-kahte rah jaate hain
khushboo apne raste khud tay karti hai
Phool to daali ke ho kar rah jaate hain
Roz naya ek kissa kahne wale log
Kahte kahte khud kissa ho jaate hain
Kaun bachaayega phir todne walon se ?
phool agar shaakhon se dhokha khaate hain.
(In Hindi)
बीते हुए दिन ख़ुद को जब दोहराते हैं
एक से जाने हम कितने हो जाते हैं
हम भी दिल की बात कहाँ कह पाते हैं
आप भी कुछ कहते-कहते रह जाते हैं
ख़ुश्बू अपने रस्ते ख़ुद तय करती है
फूल तो डाली के हो कर रह जाते हैं
रोज़ नया इक क़िस्सा कहने वाले लोग
कहते कहते ख़ुद क़िस्सा हो जाते हैं
कौन बचाएगा फिर तोड़ने वालों से ?
फूल अगर शाख़ों से धोखा खाते हैं
– Waseem Barelvi