Beete Hue Din Khud Ko Jab Dohraate Hain – Waseem Barelvi | Ghazal And Shayari

This beautiful Ghazal 'Beete Hue Din Khud Ko Jab Dohraate Hain' has written by Waseem Barelvi.

Beete Hue Din Khud Ko Jab Dohraate Hain 

Beete hue din khud ko jab dohraate hain 
Ek se jaane hum kitne ho jaate hain 
Hum bhi dil ki baat kahan kah paate hain 
Aap bhi kuchh kahte-kahte rah jaate hain 
khushboo apne raste khud tay karti hai 
Phool to daali ke ho kar rah jaate hain 
Roz naya ek kissa kahne wale log 
Kahte kahte khud kissa ho jaate hain 
Kaun bachaayega phir todne walon se ?
phool agar shaakhon se dhokha khaate hain.

(In Hindi)
बीते हुए दिन ख़ुद को जब दोहराते हैं 
एक से जाने हम कितने हो जाते हैं 
हम भी दिल की बात कहाँ कह पाते हैं 
आप भी कुछ कहते-कहते रह जाते हैं 
ख़ुश्बू अपने रस्ते ख़ुद तय करती है 
फूल तो डाली के हो कर रह जाते हैं 
रोज़ नया इक क़िस्सा कहने वाले लोग 
कहते कहते ख़ुद क़िस्सा हो जाते हैं 
कौन बचाएगा फिर तोड़ने वालों से ?
फूल अगर शाख़ों से धोखा खाते हैं  
                                 – Waseem Barelvi