Ye Barf Raatein Bhi Bankar Abhi Dhuaan Udd Jaayein
Ye barf raatein bhi bankar abhi dhuaan udd jaayein
Wo ek lihaaf main odhu to sardiyaan udd jaayein
Bahut guroor hai dariya ko apne hone par
Jo meri pyaas se uljhe to dhajjiyaan ud jaayein
Hawaayein baaz kahaan aati hain shararat se
Saron pe haath na rakhein to pagdiyaan udd jaayein
Bikhar-bikhar si gayi hai kitaab saanson ki
Ye kaagzaat khuda jaane kab kahaan udd jaayein
ये बर्फ रातें भी बनकर अभी धुंआ उड़ जाएँ
वो एक लिहाफ मैं ओढ़ू तो सर्दियां उड़ जाएँ।
बहुत गुरूर है दरिया को अपने होने पर,
जो मेरी प्यास से उलझे तो धज्जियां उड़ जाएँ।
हवाएं बाज़ कहाँ आती हैं शरारत सें,
सरों पे हाथ न रखें तो पगड़ियां उड़ जाएँ।
बिखर-बिखर सी गयी है किताब साँसों की,
ये कागज़ात खुदा जाने कब कहाँ उड़ जाएँ।
– Rahat Indori