Description:
Poetry Title – “Khush To Hai Na”
Author’s Name – Shekhar
Credit – Shekhar’s Poem.ircle
Khush To Hai Na Tu Poem
Khush to hai na tu
Tujhse door jo hu,
Mai bhi thik hu bas,
Majboor jo hu…
Kya fark padta hai
Mere Chhup jaane se,
Teri zindagi ka ek andhera jo hu…
Khush to hai na tu
Tujhse door jo hu,
Mai bhi thik hu bas,
Majboor jo hu…..
Adhoora safar to tune kiya hai
Phir saja mujhe kyo mil rahi hai,
Maine sirf pyar kiya tujhse,
Aur aankhe bhi meri ro rahi hai..
Tu ab badla hai
Ya maine kisi Aur ko padha tha,
Jo iss adhoore safar me mere
Teri manzil hi nahi hai
Teri manzil hi nahi hai..
Adhoori hu aaj bhi mai
Tera ehsaan jo hu,
Khush to hai na tu
Tujhse door jo hu,
Mai bhi thik hu bas,
Majboor jo hu…
Suna hai teri galliyon me
Naye chehre rehne lage hai
Wo waqt dafan ho gaya kahi,
Aur hum paraye hone lage hai..
Kuch jhoot laga mujhme,
Ya tujhe hi sach pasand nahi
Hoti hu apne paas hi mai,
Bass tere saath ke wo pal ab
Jyada yaad aane lage hai…
Jyada yaad aane lage hai…
Aur kyo na aaye!
Tera ek beeta khwab jo hu..
Khush to hai na tu
Tujhse door jo hu,
Mai bhi thik hu bas,
Majboor jo hu…
Kuch kam jyada mat kar
Chhod de ab mujhe,
Jee le tu apne sukoon me,
Aur jeene de mere saath mujhe…
Mujhme andhere rehne lage hai aajkal
Rehne de…
Ho jaungi ek Subah bhi khud ki,
Ab kyo farq padta hai tujhe…
Kyo farq padta hai tujhe….
Farq to mujhe padta hai,
Ek adhuri keetab jo hu…
Khush to hai na tu
Tujhse door jo hu,
Mai bhi thik hu bas,
Majboor jo hu…
–Shekhar