Try To Control Your Tears Poem Lyrics | Best Poem On Father | Mohammad Mubashshir

Heart touching poem, Best poem on Father in hindi
Description:
Author Name – Mohammad Mubashshir (Moby)
Poem – No Name
                 
       (A Poem With No Name. As  Moby Can’t Explain Father In One  Word. If You Are Strong Enough Then Read This Poem By Moby. I Am Sure It Will Melt Your Heart To The Core.)

Best Poem On Father

Mai jo nazm pesh karne wala hu wo ek bete ke zajbaat hai apne baap ke liye….

Aur Poem jo nazm hai meri kuch iss tarah se suru hoti hai ki….
.

Nanhi si aankhe aur mudi hui ungliyan thi
Ye baat tab ki hai jab duniya mere liye soyi hui thi
Nange se sharir par naya kapdaa pahnata tha
Eid wid ki samajh na thi par phir bhi mere saath manata tha
Ghar me khane ki abande thi par fd me paise jod raha tha
Aur uske khud ke sapne adhure the par mere liye bunn raha tha
Ye baat tab ki hai jab duniya mere liye soyi hui thi
Waqt kata saal badla par tab bhi sab Anjaan tha
Mai phir bhi uski Jaan tha

Bister ko geela karna ho ya phir raato ko rona ho
Ek baap hi tha jisse chhina maine uska sona tha
Subah fazar(Dawn) tak god me khelata jhulo me hilata phir din me kamata phir shaam me chala aata

kabhi khud se pareshan

kabhi duniya ka sataya tha

Ek baap hi tha jisne mujhe rote huye hasaya tha

Alfaazo se to gunga tha mai par mere wo ishare samajh raha tha
Mai khud iss baat se hairan hu aaj ki Kal wo mujhe kis tarah pad raha tha
Abba to chhodo yaar Aaaa bhi nikala na tha

Par wo meri har farmaisho ko pura kar raha tha
Aur mai bhi uske laad pyar me ab dhalane laga tha
Ghar se wo nikal na jaye ab uski kadamo par nazare rakhane laga tha
Aur mudde toh hazar the baazar me uske paas
Par kab dhal jayega suraj

Usko iska intezaar tha

Aur mai bhi darwaje ki chaukhat ko taakta rahta tha

Jab hoti thi dastak to walker se jhankata rehta tha

Dekh ke uski sakal mai dur se chillata tha

Jo bhi ishare mujhe aate the usse use apne karib bulata tha

Wo bhi chhod chhad ke sab kuch

Mujhe sine se lagata tha

Kabhi hawa me uchhalta tha

Kabhi kartab dikhata tha

Meri ek muskano ke liye kabhi haathi toh,

Kabhi ghoda ban jata tha

Aur so saku raat bhar sukoon ke saath

Isliye puri raat ek karwat me guzarta tha
Isliye puri raat ek karwat me gujarta tha….

Ab wo bachpan shayad ab so chuka tha

Aur mai jawani ke dehliz me kadam rakhne laga tha
Uski kurbani ko uska farz samjhne laga tha
Chahe wo fir khud bina pankhe ke sona ho

Ya mujhe hawa me sulana
Ya fir eid ka wo khud purana kapda pahanna ho aur mujhe naya pahnana

Ya tapte hue bukhar me thande maate pe rakhe hue pattiya ho

Ya meri har zid ke aage jhukh jana

Wo bachpan tha guzar gaya
Wo rishta tha sikud gaya

Aur mai uss kurbani ke boj ko utha nahi paya
Isliye wo shehar me kahi dur chhod aaya

Naya shehar tha
Naye shehar ki hawa mujh pe chadne lagi thi
Apne baap ki har nasihat

Ek bachpana lagne lagi thi
Kaam jo mil gaya tha
Paisa jo aane laga tha
Kya zaroorat hai baap ko
Ye soch mujhme palne lagi thi

Aur udhar mera baap baichein tha meri yaad me
Ki kuch roz to ghar aaja beta bas yahi tha uski fariyad me
Aur mai usse hisab lene laga tha
Jo duniya ka karzdaar ban chuka tha
Kya jaroorat hai tumhe abbu itne paiso ki

Ab ye sawaal karne laga tha
Ab ghadi ka kanta fir palat chuka tha
Kal tak mai kisi ka beta tha

Aaj kisi ka baap ban chuka tha
Aur Hasrato ka sweater mai bhi bunne laga tha
Kal kya karega mera beta mai bhi yahi sochne laga tha

Ab duniya me mujhse koi na aage tha Na koi apna tha sab paraya tha

Bas wo hi ek sapna tha

Tab mujhme ek jazbaat umdane laga tha

Jis jazbaat se mai hamesa anjaan tha
Ki kal kya gujari hogi mere baap par Ab ye mujhe samaj aane laga tha

Belos(Unconditional) mohabbat ki murat hota hai baap
Jo lafzo me na buna jaye

Aur kalmo se na likha jaye

Wo hota hai baap
Jo rote huye ko hasa de

Khud ko maajur bana ke tumhe khada kar de

Wo hota hai baap


Par ye ek messege pure aavam ke liye.

Ki ek roz
Ek roz tumhe ehsaas jarur hoga

Ki masruf tum the umar daraj wo hoga
Ek roz ehshas tumhe jaroor hoga

Ki masruf tum the umar daraj wo hoga

Jiski ungli ka sahara pakadkar chala karte the
Aaj wahi chhadi ka talabdaar hoga

Aur jiske sakhte me jee rahe ho aaj Kal wo na rahe to kya hoga

Par abhi waqt bacha hai kuch khas tumhare pass

Tab tak jab tak baap ka saaya tumhare saath hoga

Aur jannat ke talabgaar ho to sine se laga lena
Kyo ki wahi kal jannat ka sardar hoga
Sab gile shikwe mita ke chipak jana kyo ki aaj to baap hai
Par kal wo tumhare saath na hoga
Kal wo tumhare saath na hoga

Aur mai iss nazm ka koi naam rakh nahi paya
Kyo ki mai baap Ko ek lafz me bata nahi paya ..

                  – Mohammad Mubashshir