Description:
Plateform – The Social House Poetry
Author Name – Komal Jain
Author Name – Komal Jain
The Social House, The Social House Poetry, Love Poetry, Bachpan ki poetry Love Ghazals.
90s Ka Bachpan
Ajeeb raaste hai Ajeeb pagdandiyan
Mudna kaha tha kaha mud chale hai…
Bachpan ke saare wo taaro ke sapne
Jawani ke baarish sab dhul chale hai,
Zamane ke pichhe bhagte sochati hu
Wo bhi tha daur jab zamana tha pichhe,
Meri pencil likh-likh khatam ho gayi
Aao chale waha jahan bachpan hai kheeche,
Bachpan ke khayal ziddi hai bahut,
Akal ke kacche hai piddi hai bahut
Bin puchhe mujhe mere bachpan ki raaho me le jaate hai,
Wo saare kisse kahaniyan wapas le aate hai.
Mohlla wo bacche wo atarangi kisse
Jeevan ke wo saare anmol hisse
Holi ki hullad diwali ke patakhe,
Puja ke baad jo mummy deti thi battashe.
Un saare saare palo ko naani ke kahaniyon sa sunate hai
Uss chaat ki dukan me kuch toh alag tha,
Uss tikki ka swad koi phir se chakha do
Wo pal jo subah ki coffee me ghul se gaye hai,
Kanche ki bottle me phir se pila do..
Ajeeb raaste hai Ajeeb pagdandiyan
Mudna kaha tha kaha mud chale hai…
Gudiyon ki shaadi wo gudde khelana
Yaad hai tumko wo gujara Zamana,
Wo nukkad ka thela aur mele me jana
Badi si gol chakari me jhul ke aana,
Wo him Cream ke gole wo samose kachori,
Baarish me maa ke hath ki pakodi.
Dant tutne me bhi kuch toh alag tha
Zameen khodne me bhi bahut maja tha,
Mujhko mere taaro ke sapne lauta do
Ho sake toh mujhe mera bachpan lauta do…
Aur bubble gum me befikari ko yun hi chabana,
gubbara fula ke fir yu itraana
Saraarto ke keede jo jehen me the aate
Bhai behen me unhe aajmana
Har pal sabko yun hi satana,
Daat ke darr se khud yun hi ruth jaana
Wo ladakpan ka mera girna girana,
Chot lagi rehti thi phir bhi muskurana
Heel wali sandal me chalne ka maza hi alag tha,
Wo saraarte mile toh mera pata do
Mera Chhuta bachpan kahi se lauta do..
Martbaano me band wo daadi ka aachar,
Bimaar padne par maa ka thoda jyada pyaar
Wo maa ka anchal aur neendo ki thapaki,
Paani pilati thi wo jab aati thi hichaki..
Aur pahen leti thi mai wo maa ki jo saari,
Haatho me kangan aur maathe par bindi
Koi toh dhoond lo kahi se toh mujhko
Uss din mai jo maa ke anchal me chhupi thi,
Baaho me tab mere aakash bhi tha
Chhuta hai jakham mere paas bhi tha,
Aaj baalo me tel koi phir se laga do
Mujhe aaj lori gaa ke suna do
Ajeeb raaste hai Ajeeb pagdandiyan
Mudna kaha tha kaha mud chale hai…
Meri hi hikayat thi meri hi kalam thi
Khawahish ke panno par sapno ke rang ki,
Banati thi baadalo me tasveer tab mai
Bhrati thi jab mai rang laal aur gulabi
Aur baarish ki chhap chhap aur garmi ki chhuti,
Patjhad me patto ke girne ka Saawan,
Mujhe kahi se toh bachpan lauta do
Ho sake to mera pyara bachpan lauta do…
Aur wo kaach ke dabbo me wo rang birangi goliya
Bachpan ki wo saari pyari saheliya,
Dhoondhti hu na jaane kitni dukaano me
Batana agar tumko kahi mile zamane me,
Aaj bhi khud ki khud ko khidki se ghanto taakti hu!
Jab khud ko pithhu khelte dekhti hu
Wo ball mile to mujhe lautana
Lautana mujhko wo gujra zamana…
Aur le lo check book
Le lo saare paise,
Mujhe mere gullak ki khanak suna do
Ajeeb raaste hai Ajeeb pagdandiyan
Mudna kaha tha kaha mud chale hai…
Aur ganit ke panno me nil bata sannata
Wo mummy ka dular aur papa ka chaata,
Wo school ke baste jo mujhse the bhari
Sikhi baato ki aazmaish hai jaari,
Exam se pahle wo dahi aur chini
Khisse aur kahaniyon me thi zindagi hamari,
Wo barish me ghar ko kichad se bharna
Ghar ke surago se jharne ka bahna,
Uss kagaj ki naav me kuch toh alag tha
Jungle book ka mougali na kisi se kam tha,
Aur gaadi me cycle ke pandle lagwa do
Purane khel mujhe phir se khela do..
Wo Ret se banati thi kinaron pe jo ghar mai,
Lehro se keh do wo ghar to lauta de…..
Ajeeb raaste hai Ajeeb pagdandiyan
Mudna kaha tha kaha mud chale hai…
Aur cycle se girne pe papa ka kehna
Zindagi ka naam hai gir kar sambhalna
Kandhe ki unki wo pyari sawari,
Dessehara me jalana raavan laga ke chingari
Anjaane me hi badti rahi mai,
Chadti rahi main zindagi ki seedi
Aur barf ki golo sa sab phighal sa gaya hai,
Na jaane kyu aaj sab badal sa gaya hai..
Aur hassi ke thahake jo kho se gaye hai
Mile kahi toh unhen mera pata do..
Aur bhut yaad aata hai bachpan purana
Mujhko mera gujra zamana…
Aaj bhi ghar ki ghanti ko ghanto bajati hu,
Chabhi se khol ke khud hi andar aati hu
Koi toh pukarega rokega tokega,
Mai bina doodh piye roz ghar se jaati hu..
Sambhalo koi,
koi toh daanto
Mai aajkal raat ko bahut der se ghar aati hu…
Rote rote soti hu lekin khawahish adhuri,
Maa aayegi lekar aalu aur puri..
Phir rote rote khud hi chup ho jaati hu
Khud ki thapaki se khud ko hi sulati hu,
Na jaane kyu aankhon ke aaj nal khul gaye hai….
Ajeeb raaste hai Ajeeb pagdandiyan
Mudna kaha tha kaha mud chale hai…
Aur kuch nahi toh meri zid aur akad hi dila do..
Mujhse hi mera taaruf kara do,
Gubbara chhoda tha ek din haath se jo
Patang sang mujhe uss tak pahucha do,
Aur kama to liye hai bahut saare paise
Meri tooti gullak mile to lauta do,
Aur zindagi ke saapo ne dash sa liya hai
Saap sidhi ki sidhi koi to laga do,
Aur katti aur abba si aasa thi dosti
Inn pal me bikharte rishton ko koi samjha do,
Aur gudde hi nahi gudiya bhi rakhti thi mai dhak kar,
Inn aabru se khelte manchalo ko bata do
Aur jawani ne bachpan se dhokha kiya hai,
Koi to ise bhi saza dilwa do…..
Ajeeb raaste hai Ajeeb pagdandiyan
Mudna kaha tha kaha mud chale hai….
Aur bachpan ki bhor bulati hai ab bhi
Aao chalo unn galiyon me jaye,
Aaj jo andar tut sa gaya hai
Nadaniyo ki gond se use chipkaye,
sapno aur khwabon ke saare wo tukde
Bachpan ki baato se fir jud chalenge,
Jawani ko aao saza dilwaye…
Bachpan ki raaho me fir mud chalenge
Bachpan ki raaho me fir mud chalenge…..
.
.
Thank U
– Komal Jain