Sula Chuki Thi Ye Duniya Thapak Thapak Ke Mujhe
सुला चुकी थी ये दुनिया थपक थपक के मुझे
जगा दिया तेरी पाज़ेब ने खनक के मुझे
कोई बताये के मैं इसका क्या इलाज करूँ
परेशां करता है ये दिल धड़क धड़क के मुझे
ताल्लुकात में कैसे दरार पड़ती है
दिखा दिया किसी कमज़र्फ ने छलक के मुझे
हमें खुद अपने सितारे तलाशने होंगे
ये एक जुगनू ने समझा दिया चमक के मुझे
बहुत सी नज़रें हमारी तरफ हैं महफ़िल में
इशारा कर दिया उसने ज़रा सरक के मुझे
मैं देर रात गए जब भी घर पहुँचता हूँ
वो देखती है बहुत छान के फटक के मुझे
– राहत इन्दौरी
Sula chuki thi ye duniya thapak thapak ke mujhe
Jaga diya teri paazeb ne khanak ke mujhe
Koi bataye ke main is ka kya ilaaj karoon
Pareshaan karta hai ye dil dhadak dhadak ke mujhe
Taallukaat mai kaise daraar padti hai
dikha diya kisi kamzarf ne chhalak ke mujhe
Humein khud apne sitaare tarashne honge
Ye ek jugnu ne samjha diya chamak ke mujhe
Bahut si nazrein humari taraf hain mehfil main
Ishara kar diya usne zara sarak ke mujhe
Mai der raat gaye jab bhi ghar pahunchta hoon
Wo dekhti hai bahut chhaan ke phatak ke mujhe
– Rahat Indori