Ye Sard Raaten Bhi Ban Kar Abhi Dhuan udd Jaayen – Rahat Indori | Ghazal And Shayari

Ye Sard Raaten Bhi Ban Kar Abhi Dhuan udd Jaayen 

ये सर्द रातें भी बन कर अभी धुआँ उड़ जाएँ
वो इक लिहाफ़ मैं ओढूँ तो सर्दियाँ उड़ जाएँ

ख़ुदा का शुक्र कि मेरा मकाँ सलामत है
हैं उतनी तेज़ हवाएँ कि बस्तियाँ उड़ जाएँ

ज़मीं से एक तअल्लुक़ ने बाँध रक्खा है
बदन में ख़ून नहीं हो तो हड्डियाँ उड़ जाएँ

बिखर बिखर सी गई है किताब साँसों की
ये काग़ज़ात ख़ुदा जाने कब कहाँ उड़ जाएँ

रहे ख़याल कि मज्ज़ूब-ए-इश्क़ हैं हम लोग
अगर ज़मीन से फूंकें तो आसमाँ उड़ जाएँ

हवाएँ बाज़ कहाँ आती हैं शरारत से
सरों पे हाथ न रखें तो पगड़ियाँ उड़ जाएँ

बहुत ग़ुरूर है दरिया को अपने होने पर
जो मेरी प्यास से उलझे तो धज्जियाँ उड़ जाएँ

                                                        – राहत इंदौरी

Ye sard raatein bhi ban kar abhi dhuan udd jaayein
Wo ik lihaaf main aondhu to sardiya udd jaayein

Khuda ka shukra ki mera makaan salaamat hai
Hain utni tez hawaayen ki bastiyaan udd jaayein

Zameen se ek talluk ne baandh rakha hai
Badan mein khoon nahin ho to haddiyaan udd jaayein

Bikhar bikhar si gayi hai kitaab saanson ki
Ye kaagjaat khuda jaane kab kahan udd jaayein

Rahe khyaal ki majjoob-e-ishq hain ham log
Agar zameen se phoonke to aasmaan udd jaayein

Hawaaen baaz kahan aati hain sharaarat se
Saron pe haath na rakhein to pagdiyaan udd jaayein

Bahut guroor hai dariya ko apne hone par
Jo meri pyaas se ulajhe to dhajjiyaan udd jaayein

                                              – Rahat Indori