Main Apne Khwab Se Bichhda Nazar Nahin Aata
Main apne khwab se bichhda nazar nahin aata,
To is sadi mein akela nazar nahin aata.
Ajab dabaav hai un baahari hawaon ka,
Gharon ka bojh bhi uthta nazar nahin aata.
Main teri raah se hatne ko hat gaya lekin
Mujhe to koi bhi rasta nazar nahin aata
Main ek sada pe hamesha ko ghar to chhod aaya,
Magar pukaarne wala nazar nahin aata.
Dhuan bhara hai yahan to sabhi ki aankhon mein,
Kisi ko ghar mera jalta nazar nahin aata.
Ghazal-sarai ka dawa to sab kare hain ‘Waseem’
magar wo ‘Mir’ sa lahja nazar nahin aata.
(In Hindi)
मैं अपने ख़्वाब से बिछड़ा नज़र नहीं आता,
तो इस सदी में अकेला, नज़र नहीं आता।
अजब दबाव है उन बाहरी हवाओं का,
घरों का बोझ भी उठता, नज़र नहीं आता।
मैं तेरी राह से हटने को हट गया लेकिन,
मुझे तो कोई भी रस्ता, नज़र नहीं आता।
मैं इक सदा पे हमेशा को घर तो छोड़ आया,
मगर पुकारने वाला, नज़र नहीं आता।
धुआँ भरा है यहाँ तो सभी की आँखों में,
किसी को घर मेरा जलता, नज़र नहीं आता।
ग़ज़ल-सराई का दावा तो सब करे हैं ‘वसीम’,
मगर वो ‘मीर’ सा लहजा, नज़र नहीं आता।
– Waseem Barelvi