Nigahon Ke Taqaze Chain Se Marne Nahin Dete
Nigahon ke taqaze chain se marne nahin dete
Yahan manzar hi aise hain ki dil bharne nahin dete
Ye log auron ke dukh jeene nikal aaye hain sadkon par
Agar apna hi gham hota to yun dharne nahin dete
Yahi qatre jo dam apna dikhane par utar aate
Samundar aisi man-mani tujhe karne nahin dete
Qalam main to utha ke jaane kab ka rakh chuka hota
Magar tum ho ke qissa mukhtasar karne nahin dete
Humin un se umiden aasman chhune ki karte hain
Humin bachhon ko apne faisle karne nahin dete.
(In Hindi)
निगाहों के तक़ाज़े चैन से मरने नहीं देते
यहाँ मंज़र ही ऐसे हैं कि दिल भरने नहीं देते
ये लोग औरों के दुख जीने निकल आए हैं सड़कों पर
अगर अपना ही ग़म होता तो यूँ धरने नहीं देते
यही क़तरे जो दम अपना दिखाने पर उतर आते
समुंदर ऐसी मन-मानी तुझे करने नहीं देते
क़लम मैं तो उठा के जाने कब का रख चुका होता
मगर तुम हो के क़िस्सा मुख़्तसर करने नहीं देते
हमीं उन से उमीदें आसमाँ छूने की करते हैं
हमीं बच्चों को अपने फ़ैसले करने नहीं देते।
– Waseem Barelvi