Source
लेखक – वसीम बरेलवी
किताब – मेरा क्या
प्रकाशन – परम्परा प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण – 2007
Difficult Word
मारका = लड़ाई, युद्ध, बहुत बड़ी घटना।
Sabhi Ka Dhoop Se Bachne Ko
Sabhi ka dhoop se bachne ko sar nahin hota
Har aadmi ke mukaddar mein ghar nahin hota
Kabhi lahu se bhi taarikh likhni padti hai
Har ek maaraka baaton se sar nahin hota
Main us ki aankh ka aansu na ban saka warna
Mujhe bhi khaak mein milne ka dar nahin hota
Mujhe talaash karoge to phir na paaoge
Main ek sada hoon sadaaon ka ghar nahin hota
Main us makaan mein rahta hoon aur jinda hoon
‘Waseem’ jis mein hawa ka guzar nahin hota.
(In Hindi)
सभी का धूप से बचने को सर नहीं होता
हर आदमी के मुक़द्दर में घर नहीं होता
कभी लहू से भी तारीख़ लिखनी पड़ती है
हर एक मा’रका बातों से सर नहीं होता
मैं उस की आँख का आँसू न बन सका वर्ना
मुझे भी ख़ाक में मिलने का डर नहीं होता
मुझे तलाश करोगे तो फिर न पाओगे
मैं इक सदा हूँ सदाओं का घर नहीं होता
मैं उस मकान में रहता हूँ और ज़िंदा हूँ
‘वसीम’ जिस में हवा का गुज़र नहीं होता।
– Waseem Barelvi