Shaam Tak Subah Ki Nazaron Se – Waseem Barelvi | Ghazal And Shayari

This beautiful ghazal Shaam Tak Subah Ki Nazaron Se has written by Waseem Barelvi.

  Source  
लेखक – वसीम बरेलवी
किताब – मेरा क्या
प्रकाशन –  परम्परा प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण – 2007

 Difficult Word 
तल्ख़ी-ए-हालात = स्थिति की कड़वाहट।

Shaam Tak Subh Ki Nazaron Se

Shaam tak subh ki nazaron se utar jaate hain 
Itne samjhauton pe jeete hain ki mar jaate hain 
Phir wahi talkhi-e-haalaat mukaddar thahri 
Nasshe kaise bhi ho kuch din mein utar jaate hain 
Ek judaai ka wo lamha ki jo marta hi nahin 
Log kahte the ki sab waqt gujar jaate hain 
Ghar ki girti hui diwaarein hi mujh se achhi 
Raasta chalte hue log thahar jaate hain 
Hum to be-naam iraadon ke musaafir hain ‘Waseem’
Kuch pata ho to bataayein ki kidhar jaate hain.
(In Hindi)
शाम तक सुब्ह की नज़रों से उतर जाते हैं 
इतने समझौतों पे जीते हैं कि मर जाते हैं 
फिर वही तल्ख़ी-ए-हालात मुक़द्दर ठहरी 
नश्शे कैसे भी हों कुछ दिन में उतर जाते हैं 
इक जुदाई का वो लम्हा कि जो मरता ही नहीं 
लोग कहते थे कि सब वक़्त गुज़र जाते हैं 
घर की गिरती हुई दीवारें ही मुझ से अच्छी 
रास्ता चलते हुए लोग ठहर जाते हैं 
हम तो बे-नाम इरादों के मुसाफ़िर हैं ‘वसीम’ 
कुछ पता हो तो बताएँ कि किधर जाते हैं। 
                                 – Waseem Barelvi