Nasir Kya Kahta Phirta Hai Kuch Na Suno To Behtar Hai – Urdu Poetry | Nasir Kazmi
Credit:
Poetry Title – “Nasir Kya Kahta Phirta Hai, Kuch Na Suno To Behtar Hai”
Poet – Nasir Kazmi
Difficult Words:
Tab o Tawan – Tolerance And Strength
Nam e Khuda – Bravo
Nam e Khuda – Bravo
Nasir Kya Kahta Phirta Hai Poem
‘Nasir’ kya kahta phirta hai
Kuchh na suno to behtar hai
Deewana hai deewane ke
Munh na lago to behtar hai
Kal jo tha wo aaj nahin
Jo aaj hai kal mit jayega
Rukhi-sukhi jo mil jaye
Shukr karo to behtar hai
Kal ye Tab-o-Tawan na rahegi
Thanda ho jaega lahu
Nam-e-khuda ho jawan abhi
Kuchh kar guzro to behtar hai
Kya jaane kya rut badle
Haalat to koi thik nahin
Ab ke safar mein tum bhi
Hamare sath chalo to behtar hai
Kapde badal kar baal bana kar
Kahan chale ho kis ke liye
Raat bahut kaali hai ‘Nasir’ ghar mein raho to behtar hai
‘Nasir’ kya kahta phirta hai
Kuchh na suno to behtar hai
Deewana hai deewane ke
Munh na lago to behtar hai
–Nasir Kazmi