Difficult Words:
रवानी = रवाना होना, बहाव।
गिरानी = महंगाई ।
Nadi Ne Dhoop Se Kya Kah Diya Rawani Me
नदी ने धूप से क्या कह दिया रवानी में
उजाले पाँव पटकने लगे हैं पानी में
ये कोई और ही किरदार है तुम्हारी तरह
तुम्हारा ज़िक्र नहीं है मेरी कहानी में
अब इतनी सारी शबों का हिसाब कौन रखे
बड़े सवाब कमाए गए जवानी में
चमकता रहता है सूरज-मुखी में कोई और
महक रहा है कोई और रात-रानी में
ये मौज मौज नई हलचलें सी कैसी हैं
ये किस ने पाँव उतारे उदास पानी में
मैं सोचता हूँ कोई और कारोबार करूँ
किताब कौन ख़रीदेगा इस गिरानी में
– राहत इंदौरी
Nadi ne dhoop se kya kah diya rawaani mein
Ujaale paanv patkane lage hain paani mein
Ye koi aur hi kirdaar hai tumhaari tarah
Tumhaara zikr nahin hai meri kahani mein
Ab itni saari shabon ka hisaab kaun rakhein
Bade swaab kamaaye gaye jawaani mein
Chamakta rahta hai sooraj-mukhi mein koi aur
Mahak raha hai koi aur raat-raani mein
Ye mauj mauj nai halchalein si kaisi hain
Ye kis ne paanv utaare udaas paani mein
Main sochta hoon koi aur karobaar karoon
Kitaab kaun kharidega is giraani mein
– Rahat Indori