Samandaron Me Muaafik Hawa Chalaata Hain – Rahat Indori | Ghazal Poetry

 

Samandaron Me Muaafik Hawa Chalaata Hain – Rahat Indori | Ghazal Poetry, Rahat Indori poetry, Rahat Indori Shayari, Rahat Indori Quotes, Rahat Indori Ghazal in hindi, Samandaron me muaafik hawa chalaata hain Jahaaj khud nahi chalte khuda chalaata hain

Difficult Words:

मुआफिक = इच्छानुसार

Samandaron Me Muaafik Hawa Chalaata Hain

समन्दरों में मुआफिक हवा चलाता है
जहाज़ खुद नहीं चलते खुदा चलाता है

ये जा के मील के पत्थर पे कोई लिख आये
वो हम नहीं हैं, जिन्हें रास्ता चलाता है

वो पाँच वक़्त नज़र आता है नमाजों में
मगर सुना है कि शब को जुआ चलाता है

ये लोग पांव नहीं जेहन से अपाहिज हैं
उधर चलेंगे जिधर रहनुमा चलाता है

हम अपने बूढे चिरागों पे खूब इतराए
और उसको भूल गए जो हवा चलाता है

                                                – राहत इंदौरी

Samandaron me muaafik hawa chalaata hain
Jahaaj khud nahi chalte khuda chalaata hain

Ye ja ke meel ke patthar pe koi likh aaye
Wo hum nahi hain, jinhe rasta chalaata hain

Wo paanch waqt nazar aata hain namaazon me
Magar suna hain sab ko jua chalaata hain

Ye log paanv nahi jehan se apaahiz hain
Udhar chalenge jidhar rahnuma chalaata hain

Hum apne boodhe chiraagon pe khub itraay
Aur usko bhul gaye jo hawa chalaata hain

                                                   – Rahat Indori