Milte Hain Gham Bhi Naseeb Walon Ko By Ahmad Faraz | Urdu Poetry | Ghazal


Milte Hain Gham Bhi Naseeb Walon Ko By Ahmed Faraz | Urdu Poetry | Ghazal, Ahmed Faraz Shayari, Ahmed Faraz Sher, Ahmed Faraz Urdu poetry in hindi, Agar kisi se marasim badane lagte hain, Tere firaq ke dukh, yaad aane lagte hain.

Difficult Words:
 मरासिम = प्रेम सम्बन्ध


Milte Hain Gham Bhi Naseeb Walon Ko


Agar kisi se marasim badane lagte hain 
Tere firaq ke dukh, yaad aane lagte hain 

Humein sitam ka gila kya ki ye jahan wale 
Kabhi kabhi tera dil bhi dhukhane lagte hain 

Safeene chhod ke sahil chale to hain lekin 
Ye dekhna hai ki ab kis thikane lagte hain 

Palak jhapakte hi duniya ujaad deti hain 
Wo bastiyaan jinhein baste zamane lagte hain 

‘Faraz’ milte hain gham bhi naseeb walon ko 
Har ik haath kahan ye khazaane lagte hain

                                          – Ahmad Faraz


अगर किसी से मरासिम बढ़ने लगते हैं 
तेरे फिराक़ के दुख, याद आने लगते हैं 

हमनें सितम का गिला क्या की ये जहाँ वाले 
कभी कभी तेरा दिल भी दुखने लगते हैं 

सफ़ीने छोड़ के साहिल चले तो हैं लेकिन 
ये देखना है की अब किस ठिकाने लगते हैं 

पलक झपकते ही दुनिया उजाड़ देती हैं 
वो बस्तियाँ जिन्हें बस्ते ज़माने लगते हैं 

‘फरज’ मिलते हैं ग़म भी नसीब वालों को 
हर इक हाथ कहाँ ये ख़ज़ाने लगते हैं।

                                       – अहमद फ़राज़