मिन्नतों वाली मोहब्बत By Saurabh Shukla | The Social House Poetry
मिन्नतों वाली मोहब्बत Poetry
वो मेरा पहली नजर का प्यार था
मैं उसकी मिन्नतों वाली मोहब्बत
वो मेरा हर्फ़-ए-गुलजार था
मैं उसकी मंटो वाली बगावत
उसने हां कर दिया
मैं उसका हकदार हो गया
मुझे लगा शायद उसको भी मुझसे प्यार हो गया
पहले तो सब ठीक था,
हमारी ना में भी हां होती थी
और तूम्हें क्या बताऊं हमारी परेशानियां भी बड़ी मोहब्बत सी बयां होती थी
वो किसी से बात करता था तो मैं जलता था लेकिन मोहब्बत थी यार इतना तो बनता था
फिर अचानक पता नहीं उसका अलग चाल चलन हो गया
मुझे पता ही नहीं चला कब मेरा महबूब बदचलन हो गया
जब तक एक तरफा थी मोहब्बत दामन साफ था उसका
अब तो ऐसा लगता है हर गली मोहल्ले उतरा नकाब था उसका
मुंह मारती थी ऐसे जैसे भूखी हो
पहले हरी थी मोहब्बत
अब जैसे सुखी हो
सब के साथ हंसती थी बस एक मुझको ही रुलाती थी
एक सच पूछो तो सौ झूठ बताती थी
उसके होठों पर मेरा जिक्र कभी नहीं आता था
और मेरे होठों से इस बात का जिक्र कभी नहीं जाता था
पर सच कहूं तो ये सच नहीं है
सच कहूं तो ये सच नहीं है
ये बस मुझको ही दिख रहा था
मेरी आंखों पे था शक का पर्दा
और मैं उसे अंधा लिख रहा था
तो चलो अब ये कहानी उसकी तरफ से सुनाता हूं
मिन्नतों वाली मोहब्बत से
फिर से मिन्नतों में आता हूं
उसने मुझे हां कर दिया
मुझे लगा उस पर मेरा अधिकार हो गया
घाटा मुनाफा सोचने लगा
साला प्यार ना हुआ व्यापार हो गया
फिर से एक आशिक ने मोहब्बत को बदनाम कर दिया
इश्क का वो बेईमान चेहरा फिर से सरेआम कर दिया
‘सिर्फ मुझसे बातें किया कर’
तू बस मेरी मोहब्बत है….
‘जो पहले करती थी अब मत किया कर’
तू बस मेरी मोहब्बत है….
‘हाथ पकड़कर चल’
नजरे ना उठा…
‘अरे तेरा तो पूरा गला दिख रहा है’
दुपट्टा ऊपर चढ़ा…
‘लड़के आवारा होते हैं इनसे मत मिला कर’
अगर कुछ करना है तो पहले पूछ लिया कर…
और तेरे कजंस का फोन आखिर रात में ही क्यों आता है ?
कुंडी ना खड़काओ राजा ऐसी कॉलर ट्यून कौन लगाता है ?
सच कहूं तो मानता तो उसे महबूब भी था और खुदा भी
और ना तो कभी मोहब्बत की ना इबादत
पता नहीं ऐसा कौन सा गुनाह किया था उसने मुझे हां करके,
कि ना तो कैद दी ना उसे दी जमानत,
शायद वो फंस गई थी मेरे साथ
कुछ इस तरह की जिससे उसको खतरा था
उसी से मांग रही थी हिफाजत
तो मेरे सवालों से वो इतना परेशान हो गई
जो मिन्नतों से मांगी थी मोहब्बत
फिर से अनजान हो गई
शायद वो कभी मुझे माफ भी कर दे
पर खुद को कैसे माफ करूंगा
पानी से लगाया है पानी में दाग
पानी से कैसे साफ करूंगा
कहने को तो अब भी खुद को उससे खफा कहता हूं
ये दुनिया मेरी मोहब्बत की इज्जत करें
सिर्फ इसलिए उसे बेवफा कहता हूं
– शौरभ शुक्ला
Wo mera pahli nazar ka pyaar tha
Main uski minnton wali mohabbat
Wo mera harf-a-gulzaar tha
Main uski manto wali bagaawat
Usne haan kar diya
Main uska hak-daar ho gaya
Mujhe laga shayad usko bhi mujhse pyaar ho gaya
Pahle to sab thik tha,
Hamaari naa mein bhi haan hoti thi
Aur tumhein kya bataun hamaari pareshaniyan bhi badi mohabbat si bayaan hoti thi
Wo kisi se baat karta tha to main jalta tha
Lekin mohabbat thi yaar itna to banta tha
Phir achanak pata nahin uska alag chaal-chalan ho gaya
Mujhe pata hi nahin chala kab mera mehboob bad-chalan ho gaya
Jab tak ek tarfa thi mohabbat daman saaf tha uska
Ab to aisa lagta hai har gali mohalle utra nakab tha uska
Munh maarti thi aise jaise bhukhi ho pahle hari thi mohabbat
Ab jaise sukhi ho
Sab ke saath hansti thi bas ek mujhko hi rulaati thi
Ek sach puchho to sau jhuth bataati thi
Uske hothon par mera zikr kabhi nahin aata tha
Aur mere hothon se is baat ka zikr kabhi nahin jaata tha
Par sach kahun to ye sach nahin hai Ye bas mujhko hi dikh raha tha
Meri aankhon pe tha shak ka parda
Aur main use andha likh raha tha
To chalo ab ye kahaani uski taraf se sunata hun
Minnton vaali mohabbat se phir se minnton mein aata hun
Usne mujhe haan kar diya
Mujhe laga us par mera adhikaar ho gaya
Ghata munafa sochne laga
Sala pyaar naa hua vyapar ho gaya
Phir se ek aashiq ne mohabbat ko badnaam kar diya
Ishq ka wo beimaan chehra,
Phir se sare-aam kar diya
‘Sirf mujhse baatein kiya kar’
Tu bas meri mohabbat hai…
‘Jo pahle karti thi ab mat kiya kar’
Tu bas meri mohabbat hai….
‘Haath pakad-kar chal’ najare naa utha’,
‘Are tera toh pura gala dikh raha hai’ Dupatta upar chadha…
‘Ladke awara hote hain inse mat mila kar’
Agar kuch karna hai to pahle puchh liyaa kar…
Aur tere Cousins ka phone aakhir raat mein hi kyon aata hai?
Kundi naa khadkao raja aisi caller tune kaun lagata hai?
Sach kahoon toh manta to use mehboob bhi tha
Aur khuda bhi aur naa to kabhi mohabbat ki naa ibadat
Pata nahin aisa kaun sa gunah kiya tha usne mujhe haan karke,
Ki naa to kaid di naa use di jamaanat, Shayad wo fans gayi thi mere saath
Kuch is tarah ki jisse usko khatra tha
Usi se maang rahi thi hifajat
To mere sawalon se vo itna pareshaan ho gayi
Jo minnton se maangi thi mohabbat phir se anjaan ho gayi
Shayad wo kabhi mujhe maaf bhi kar de
Par khud ko kaise maaf karunga
Paani se lagaya hai paani mein dag
Paani se kaise saaf karunga
Kahne ko to ab bhi khud ko usse khafa kahta hun
Ye duniya meri mohabbat ki ijjat karein
Sirf isliye use bewafa kahta hun.
– Saurabh Shukla