Aankh Mein Paani Rakho Hoton Pe Chingaari Rakho – Rahat Indori | Ghazal and Shayari

 

'Aankh Mein Paani Rakho Hoton Pe Chingaari Rakho' ye Ghazal Rahat Indori sahab ne likhi hai, Rahat Indori jab bhi jate kisi mehfil me to aise hi kisi Ghazal ko suna Kar Bahut shohrat lutate the.

Aankh mein paani rakho…

आँख में पानी रखो होंटों पे चिंगारी रखो
ज़िंदा रहना है तो तरकीबें बहुत सारी रखो

राह के पत्थर से बढ़ कर कुछ नहीं हैं मंज़िलें
रास्ते आवाज़ देते हैं सफ़र जारी रखो

एक ही नदी के हैं ये दो किनारे दोस्तो
दोस्ताना ज़िंदगी से मौत से यारी रखो

आते जाते पल ये कहते हैं हमारे कान में
कूच का ऐलान होने को है तैयारी रखो

ये ज़रूरी है कि आँखों का भरम क़ाएम रहे
नींद रखो या न रखो ख़्वाब मे यारी रखो

ये हवाएँ उड़ न जाएँ ले के काग़ज़ का बदन
दोस्तो मुझ पर कोई पत्थर ज़रा भारी रखो

ले तो आए शायरी बाज़ार में ‘राहत’ मियाँ
क्या ज़रूरी है कि लहजे को भी बाज़ारी रखो

                                                     – राहत इन्दौरी

Aankh mein paani rakho hoton pe chingaari rakho
Zinda rahna hai to tarkeeben bahut saari rakho

Raah ke patthar se badhkar kuch nahin hain manzilen
Raaste aawaaz dete hain safar zaari rakho

Ek hi nadi ke hain ye do kinaare dosto
Dostana zindagi se maut se yaari rakho

Aate jaate pal ye kahte hain hamaare kaan mein
Kooch ka ailaan hone ko hai taiyaari rakho

Ye jaruri hai ki aankhon ka bhram kaayam rahe
Neend rakho ya na rakho khwaab me yaari rakho

Ye hawaayen udd na jaayen le ke kaagaz ka badan
Dosto mujh par koi patthar zara bhaari rakho

Le to aaye shayari baazaar mein ‘Rahat’ miyaan
Kya zaroori hai ki lahje ko bhi bazaari rakho

                                                 – Rahat Indori