Ab Na Main Wo Hoon….
अब ना मैं वो हूँ, ना बाकी हैं ज़माने मेरे
फिर भी मशहूर हैं, शहरों में फ़साने मेरे
जिंदगी हैं तो नए जख्म भी लग जायेंगे
अब भी बाकी हैं कई दोस्त पुराने मेरे
आप से रोज़ मुलाक़ात की उम्मीद नहीं
अब कहा शहर में रहते हैं ठिकाने मेरे
उमरा के राम ने, साँसों का धनुष तोड़ दिया
मुझ पे एहसान किया आज खुदा ने मेरे
आज जब सो के उठा हूँ तो ये महसूस किया
सिसकियाँ भरता रहा कोई सिरहाने मेरे
– राहत इन्दौरी
Ab naa main wo hoon, naa baaki hai zamaane mere
Phir bhi mashhoor hain, shaharon mein fasaane mere
Zindagi hai to naye zakham bhi lag jaayenge
Ab bhi baaki hai kayi dost puraane mere
Aap se roz mulaakaat ki ummid nahi
Ab kahan shahar mein rahte hai thikaane mere
Umara ke Raam ne, saanson ka dhanush tod diya
Mujh pe ehasaan kiya aaj khuda ne mere
Aaj jab so ke utha hoon to ye mahasoos kiya
Siskiyaan bharta raha koi sirhaane mere
– Rahat Indori