Wafa Ko Aazmana Chahiye Tha – Rahat Indori | Ghazal And Shayari

Wafa Ko Aazmana Chahiye Tha written and performed by Rahat Indori. This poetry is best Ghazal and Shayari of Rahat Indori.

Wafa Ko Aazmana Chahiye Tha

वफ़ा को आज़माना चाहिए था, हमारा दिल दुखाना चाहिए था
आना न आना मेरी मर्ज़ी है, तुमको तो बुलाना चाहिए था

हमारी ख्वाहिश एक घर की थी, उसे सारा ज़माना चाहिए था
मेरी आँखें कहाँ नम हुई थीं, समुन्दर को बहाना चाहिए था

जहाँ पर पंहुचना मैं चाहता हूँ, वहां पे पंहुच जाना चाहिए  था
हमारा ज़ख्म पुराना बहुत है, चरागर भी पुराना चाहिए था

पहले वो किसी और की थी, मगर कुछ शायराना चाहिए था
चलो माना ये छोटी बात है, पर तुम्हें सब कुछ बताना चाहिए था

तेरा भी शहर में कोई नहीं था, मुझे भी एक ठिकाना चाहिए था
कि किस को किस तरह से भूलते हैं,
तुम्हें मुझको सिखाना चाहिए था

ऐसा लगता है लहू में हमको, कलम को भी डुबाना चाहिए था
अब मेरे साथ रह के तंज़ ना कर, तुझे जाना था जाना चाहिए था

क्या बस मैंने ही की है बेवफाई, जो भी सच है बताना चाहिए था
मेरी बर्बादी पे वो चाहता है, मुझे भी मुस्कुराना चाहिए था

बस एक तू ही मेरे साथ में है, तुझे भी रूठ जाना चाहिए था
हमारे पास जो ये फन है मियां, हमें इस से कमाना चाहिए था

अब ये ताज किस काम का है, हमें सर को बचाना चाहिए था
उसी को याद रखा उम्र भर कि, जिसको भूल जाना चाहिए था

मुझसे बात भी करनी थी, उसको गले से भी लगाना चाहिए था
उसने प्यार से बुलाया था, हमें मर के भी आना चाहिए था

तुम्हे ‘सतलज‘ उसे पाने की खातिर, कभी खुद को गवाना चाहिए था !

                                                  – राहत इन्दौरी

Wafa ko aazmana chahiye tha hamara dil dukhana chahiye tha
Aana na aana meri marzi hai tumko to bulana chahiye tha

Humari khwahish ek ghar ki thi use sara zamaana chahiye tha
Meri aankhe kaha nam hui thi samundar ko bahana chahiye tha

Jaha par panhuchna main chahta hoon waha pe panhuch jana chahiye tha
Hamara zakhm purana bahut hain chargar bhi purana chahiye tha

Mujhse pahle wo kisi aur ki thi magar kuch shayrana chahiye tha
Chalo mana ye choti baat hai par tumhe sab kuch batana chahiye tha

Tera bhi shaher me koi nahi tha mujhe bhi ek thikana chahiye tha
Ki kis ko kis tarah se bhoolte hain tumhe mujhko sikhana chahiye tha

Aisa lagta hai lahoo mein humko kalam ko bhi dubana chahiye tha
Ab mere saath rah ke tanz na kar tujhe jana tha jana chahiye tha

Kya bas maine hi ki hai bewafaai jo bhi sach hai batana chahiye tha
Meri barbadi pe wo chahta hai mujhe bhi muskurana chahiye tha

Bas ek tu hi mere saath mein hai tujhe bhi rooth jana chahiye tha
Humare paas jo ye fan hai miya hume isse kamana chahiye tha

Ab ye taaz kis kaam ka hai hume sar ko bachana chahiye tha
Usi ko yaad rakha umar bhar ke jisko bhool jana chahiye tha

Mujhse baat bhi karni thi usko gale se bhi lagana chahiye tha
Usne pyaar se bulaya tha hume mar ke bhi aana chahiye tha

Tumhe ‘Satlaj’ use pane ke khatir kabhi khud ko gawana chahiye tha

                                               – Rahat Indori