‘Ek Roz’ Poem Lyrics – Dushyant Singh
This Love Poem ‘Ek Roz‘ has Written and performed by Dushyant Singh. Shot at Cuckoo Club Bandra.
‘Ek Roz’ Poem Lyrics
Aakhir tumne mere liye kiya hi kya hai? to suno…
Ek roz, ek roz jab thak jaaogi un hazaar koshishon se
Jo tumne mujhse nafarat karne ke liye jaaya kar diya
Ek roz jab bas ki khidki se baahar dekhte-dekhte kuch kahne ke liye meri taraf mudogi
Aur mujhe wahan na paakar wapas baahar dekhne lag jaaogi
Ek roz jab Office mein boss ki daant se pareshaan tilmilakar gusse mein laptop ki aad mein apne aansuon ko chhupaaogi
Ek roz jab Office ki elevator mein koi anjaan shakhs mera perfume lagaye tumhen meri yaad dila jayega
Haan… haan mujhe maloom hai
Mujhe maloom hai tum club mein apne doston ke bich mujhe miss na karo..
Par raat ko ghar lautte waqt camp ki khidki se baahar dekhte-dekhte
Ittefaqan wo gaana baj jaye
Jo maine kabhi tumhare naam kiya tha
Ek roz jab aadtan sard raaton mein tum ghar se nikalte waqt saal lena bhul jaaogi
Aur kaandhe par mera jacket talaashogi
Ek roz jab saare zamaane ke bich mein mujhe bhulna bhul jaaogi aur bewajah yaad karke muskuraaogi
Aur jab koi puchhega ki kya hua?
Toh keh dogi ki kuch nahin
Ek roz jab thak jaaogi un hazaar fizool matlabi aashikon se
Jinhen tum mein sirf tumhara husn dikhta hai, khoobsurti nahin
Haan us roz shayad tumhen ye yakin ho jaye
Ki maine tumhare liye kiya hi kya tha
Aur suno us roz ek phone kar lena.
– Dushyant Singh
( हिन्दी में)
आखिर तुमने मेरे लिए किया ही क्या है? तो सुनो..
एक रोज़, एक रोज जब थक जाओगी उन हज़ार कोशिशों से
जो तुमने मुझसे नफरत करने के लिए जाया कर दिया
एक रोज़ जब बस की खिड़की से बाहर देखते देखते कुछ कहने के लिए मेरी तरफ मूड़ोगी
और मुझे वहाँ न पाकर वापस बाहर देखने लग जाओगी
एक रोज जब ऑफिस में बॉस की डांट से परेशान तिलमिलाकर गुस्से में लैपटॉप की आड़ में अपने आंसुओं को छुपाओगी
एक रोज जब ऑफिस की एलिवेटर में कोई अनजान शख्स मेरा परफ्युम लगाए तुम्हें मेरी याद दिला जाएगा
हाँ… हाँ मुझे मालूम है
मुझे मालूम है तुम क्लब में अपने दोस्तों के बीच मुझे मिस न करो
पर रात को घर लौटते वक्त कैंप की खिड़की से बाहर देखते-देखते
इत्तफाकन वो गाना बज
जाएं जो मैने कभी तुम्हारे नाम किया था
एक रोज़ जब आदतन सर्द रातों में तुम घर से निकलते वक्त साल लेना भूल जाओगी
और कांधे पर मेरा जाकेट तलाशोगी
एक रोज़ जब सारे जमाने के बीच में मुझे भूलना भूल जाओगी और बेवजह याद करके मुस्कुराओगी
और जब कोई पूछेगा कि क्या हुआ
तो कह दोगीं कि कुछ नहीं
एक रोज जब थक जाओगी उन हजार फिजूल मतलबी आशिकों से
जिन्हें तुममें सिर्फ तुम्हारा हुस्न दिखता है, खूबसूरती नहीं
हां उस रोज शायद तुम्हें ये यकीन हो जाए
कि मैने तुम्हारे लिए किया ही क्या था
और सुनो उस रोज़ एक फ़ोन कर लेना।
– दुष्यंत सिंह