Jhooth Se, Sach Se, Jisse Bhi Yaari Rakhein | Rahat Indori
Jhooth Se, Sach Se, Jisse Bhi Yaari Rakhein
झूठ से, सच से, जिससे भी यारी रखें
आप तो अपनी तक़रीर जारी रखें
बात मन की कहें या वतन की कहें
झूठ बोलें तो आवाज़ भारी रखें
इन दिनों आप मालिक हैं बाजार के
जो भी चाहें वो कीमत हमारी रखें
आपके पास चोरों की फेहरिस्त है
सब पे दस्त-ए-कर्म बारी बारी रखें
सैर के वास्ते और भी मुल्क़ हैं
रोज़ तैयार अपनी सवारी रखें
वो मुकम्मल भी हो ये ज़रूरी नहीं
योजनाएं मगर ढ़ेर सारी रखें।
– राहत इंदौरी
Jhooth se, sach se, jisse bhi yaari rakhein
Aap to apni taqreer jaari rakhein
Baat mann ki kahein ya watan ki kahein
Jhooth bolein to awaaz bhaari rakhein
In dino aap malik hain bazar ke
Jo bhi chahein wo keemat hamari rakhein
Aapke paas choron ki fehrist hai
Sab pe dast-e-karam baari baari rakhein
Sair ke vaaste aur bhi mulq hain
Roz taiyyar apni sawaari rakhein
Wo mukammal bhi ho ye zaroori nahin
Yojnaayein magar dher saari rakhein
– Rahat Indori