Khade Hain Mujhko Kharidaar Dekhne Ke Liye
खड़े हैं मुझको खरीदार देखने के लिए
मैं घर से निकला था बाज़ार देखने के लिए
कतार में कई नबीना लोग शामिल हैं
अमीर-ए-शहर का दरबार देखने के लिए
हज़ारों बार हज़ारों की सम्त देखते हैं
तरस गए तुझे एक बार देखने के लिए
हर एक हर्फ़ से चिंगारियां निकलती हैं
कलेजा चाहिए अखबार देखने के लिए
– राहत इंदौरी
Khade hain mujhko kharidaar dekhne ke liye
Main ghar se nikla tha baazaar dekhne ke liye
Kataar mein kayi nabina log shaamil hain
Ameer-e-shaher ka darbaar dekhne ke liye
Hazaaron baar hazaaron ki samt dekhte hain
Taras gaye tujhe ek baar dekhne ke liye
Har ek harf se chingariyaan nikalti hain
Kaleja chahiye akhbaar dekhne ke liye
– Rahat Indori