Barsaat-E-Ishq Poem – Mohit Rudra Sharma | Hindi Kavita | Spill Poetry

This beautiful poem 'Barsaat-E-Ishq' has written and performed by Mohit Rudra Sharma on the stage of Spill Poetry. Baksheesh Singh include some slight music by his guitar which refinement the beauty of this poem.

This beautiful poem ‘Barsaat-E-Ishq‘ has written and performed by Mohit Rudra Sharma on the stage of Spill Poetry. Baksheesh Singh include some slight music by his guitar which refinement the beauty of this poem.

Barsaat-E-Ishq

Ye baadal hai barse, tumhe yaad karke
Ye rishtey ki barsi pe barsa hai saawan
Ye baadal hai barse, tumhe yaad karke
Ye rishtey ki barsi, pe barsa hai saawan
Ye saawan ki boonde, ye boondon ki baarish
Ye baarish ki boondon ka maathe pe girna
Girke ke bindiyan se teri ja milna
Wo bindiyan ki laali se tujhko sajana
Ye sajne sawarne mein payal ka aana
Wo payal ki chham chham se neendiyan udaana
Neendiyan me raaton se baate si karna
Baaton hi baaton mein yaadon se ladna
Ladkar ke tahakar ke, yun choor hona
Mohobbat mein teri, yun majboor hona
Phir majboor ho karke kissa sunana
Ye sun ne sunane mein baarish ka aana
Wo baarish ke paani se palke bheegana
Wo bheenge se aachal ka tujhse lipatna
Lipatkar ke mujhse, mujhse door karna
Wo doori jatakar ke, phir paas lana
Aur phir paas laakar, mohobbat jatana
Jatate jatate hi baahon mein girna
Baahon mein girkar ke thoda sambhalna
Sambhalte sambhalte tera pyaar karna
Aur karte hi karte tera phir sanwarna
Sanwarte sanwarte wo saree ka aana
Saree ke aanchal mein mujhko chhipana
Chhipte chhipate mohobbat ka karna
Mohobbat karke mera toot jaana
Wo toote se khwaabon se tujhko mitaana
Mitakar ke tujhko bhi gairon me laana
Wo gairon ka aana
Wo doli uthana
Wo doli ke uthte hi aankhon ka bharna
Teri bharti aankhon ka yun door jaana
Tere door jaane par tujhko hi takna
Aur takte hi takte wo, baadal ka aana
Ye baadal hai barse, tumhe yaad karke
Ye rishtey ki barsi pe, barsa hai saawan
Meri aankh se par, teri aankh se par
Meri aankh se par….
                        – Mohit Rudra Sharma