Difficult Word
तर्जुमा = अनुवाद, भाषान्तर।
बद-गुमाँ = संदिग्ध, अविश्वास।
मेज़बाँ = मेहमानदारी, आतिथ्य करनेवाला।
Lahoo Na Ho Toh Kalam Tarjuma Nahin Hota
Lahoo na ho to kalam tarjuma nahin hota
Humaare daur mein aansu jabaan nahin hota
Jahan rahega wahin raushni lutayega
Kisi charaag ka apna makaan nahin hota
Ye kis makaam pe layi hai meri tanhaai
Ki mujh se aaj koyi bad-gumaan nahin hota
Bas ek nigaah miri raah dekhti hoti
Ye saara shahar mira mejban nahin hota
Tira khyal na hota to kaun samjhaata,
Zameen na ho to koyi aasmaan nahin hota
Main us ko bhul gaya hun ye kaun maanega,
Kisi charaag ke bas mein dhuaan nahin hota
‘Waseem’ sadiyon ki aankhon se dekhiye mujh ko,
Wo lafz hun jo kabhi dastaan nahin hota.
(In Hindi)
लहू न हो तो क़लम तर्जुमा नहीं होता
हमारे दौर में आँसू ज़बाँ नहीं होता
जहाँ रहेगा वहीं रौशनी लुटाएगा
किसी चराग़ का अपना मकाँ नहीं होता
ये किस मक़ाम पे लाई है मेरी तन्हाई
कि मुझ से आज कोई बद-गुमाँ नहीं होता
बस इक निगाह मिरी राह देखती होती
ये सारा शहर मिरा मेज़बाँ नहीं होता
तिरा ख़याल न होता तो कौन समझाता
ज़मीं न हो तो कोई आसमाँ नहीं होता
मैं उस को भूल गया हूँ ये कौन मानेगा
किसी चराग़ के बस में धुआँ नहीं होता
‘वसीम’ सदियों की आँखों से देखिए मुझ को
वो लफ़्ज़ हूँ जो कभी दास्ताँ नहीं होता।
– Waseem Barelvi